اسلام

khwab mein sher dekhna

1. khwab main shayr dekhna zaalim, fahash gau aur ghasib badshah ki alaamat hai.

2. kabhi shayr ki ruiyyat maut par bhi dalaalat karti hai is liye ki shayr ji ruh ko shirkaar karta hai (aur maut bhi ji ruh ko shikaar karti hai).

3. khwab main shayrni ki ruiyyat shayr be raah aurat ki daleel hai.

4. kabhi khwab main shayr dekhne ki taabeer mandarja zail se ki jaati hai. jahalat, kabar, khudpasandi, shaikhi, narazgi wagera.

5. kabhi ruiyyate shayr ki taabeer adwe musallat se bhi ki jaati hai.

6. agar kisi ne khwab main shayr ko dekha aur shayr se bhaga lekin shayr ne us ko nahin dekha toh taabeer ye hai jis cheez ka khauf hai us se nijaat milnegi aur hukumat paega.

7. agar koi khwab main shayr ko apne qareeb ho kar istaamal karte dekhe toh taabeer ye hai ki us ko badshah ki taraf se koi gham pahunchega aur phir use nijaat mil jayegi.

8. agar kisi ne dekha ki shayr ne us ko pachad diya toh ye daayimi bukhar ki daleel hai isl liye ki shayr humesha bukhar ki haalat main rahta hai. ya us ki taabeer qed khana se ki jaati hai.

9. shayr se ladhne ki taabeer bhi bukhar se ki jaati hai.

10. agar kisi ne dekha ki us ne shayr ke gosht ya haddi ya baal main se kuch le liya toh ye badshah ya musllat dushman se kuch milne ki daleel hai.

11. khwab mian darinde (shayr wagera) par darte hue sawar hone ki taabeer ayesi museebat se ki jaati hai ki jis se aage peeche hone ka imkaan nahin hota.

12. darinde par bala khauf sawar hona dushman ko maghlub karne ki daleel hai.

13. agar kisi ne dekha ki woh bila khauf shayr ke saath leta hua hai toh woh marz se maamun hoga.

14. agar kisi ne khwab main dekha ki shayr kisi ghar main dakhil hua hai agar us ghar main koi mareez ho toh woh mar jayega, aur agar mareez na ho toh ye badshah ki tareef se khauf aane par dalaalat karta hai.

15. kisi ka khud ko dekhe bager us se darna dushman se maamun hone ki daleel hai.

16. shayr ko apne paas bager mukhalifat ke dekhna badshah ki taraf se ayesa khun pahunchne ki daleel hai jo us ke liye nuqsaandah nahin hoga.

17. kabhi shayr dekhna maut ya qareebe ajal ki daleel hota hai.

18. shayr ko apne ghar main dekhna badshah tak rasaai aur daraaz.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!