اسلام

Khwab mein Sharam karna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki sharam imaan se hai chunanche aanhazrat salallahu alayehi wasallam ne farmaya hai ki “haya imaan se hai.”

hazrat jaafar maghribi rahamtullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main dekhe ki kisi kaam main sharam karta hai. daleel hai ki us kaam main kher aur islaah hogi aur imaan ki zyadati hogi aur kisi ayese kaam main sharam rakhna ki jis kaam main kher o islaah hai nuqsaan imaan par daleel hai.

farj (sharam gah)

1. khwab main faraj dekhna sakhti main mubtala shakhs ke liye aasaani, koshish karne wale ki zaroorat ke pura hone, kunware ke liye shaadi, safar par jaane, mashtar ki maamla karne, poshida amoor ke wazeh hone, aur maadinyaat par itlaa paane ki daleel hai.

2. sharam gah ki taabeer ayesi amaanat hai jis main tasarraf karne ki ijaazat sirf uske maalik hi ko hai. ayesi hi farj ko khwab main dekhna qaid par aur ghar ke us darwaze par dalaalat karta hai, jis ke baare main allah pak ne farmaya ki sirf usi se aaya jaaye. farmane khuda wandi hai. “ aur gharon main darwazon se daakhil ho” farj se muraad kabhi jangjoo aur kabhi aurat ki taraf mastuja karne walal bosa hota hai. aur farj khwab main bhi insaan ke raaz ke muhaafiz par aur kabhi hamaam par bhi dalaalat karti hai, is liye ki hamaam main bhi paani aur haraarat hoti hai. farj pahadhon ke darmiyan waadi aur ghaati dalaalat karti hai. basa awaqat farj ke saath lagne se intishaar paida ho jaata hai aur mani jis ne zikra ko taqwiyat di hui thi ke nikalne se zikra ka intishaar khatam ho jaata hai.

3. kabhi aadmi ki sharam gah aurat ki sharam gah par dalaalat karti hai. farj kabhi qabra, aur ayese tanur par bhi dalaalat karti hai jis main aataa dakhil kiya jaata hai aur paki hui roti nikalati hai. basa awaqat farj ki dalaalat gham par bhi hoti hai, basa awaqat farj us aadmi par bhi dalaalat karti hai jo us ki hifaazat main hai, basa awaqat farj aur zikra aag ya aag main dakhil hone ke sabab par dalaalat karta hai is liye ki farj aur zikra shahoot ki jagahain hain, farj wati bilshuba se hamal thaharne par bhi dalaalat karti hai.

4. agar koi aadmi sakhti main hua aur khubsoorat farj dekhe toh sakhti se khulasi ke saath haajat bhi puri hogi. agar yahi banda saraf ki taraf motawajja hua toh safar main raahat haasil hogi. aruagar shirkat ka aazam kiya toh shirakat se bhi raahat haasil hogi. aur agar ayesa banda ye khwab dekhe jo maadinyat aur poshida cheezon ki khabar rakhta hai toh us ko hasoole maqsood main kamiyabi haasil hogi.

5. agar farj se faayeda bhi haasil kiya toh wadiyat wale maal main khayanat karega.

6. khwab main wati se basa awaqat qaidi par dalaalat hoti hai. aur agar sahibe khwab par koi kaam mushkil ho, dar anhaliki jis main woh bhalai ko bhi jaanta hai toh bhalai aur hidaayat wali jagah main wa quwaa ke saath mahal main saheeh raaste se aane par dalaalat karta hai. agar farj dekhne wala guhah gar hai toh tauba akrne ki taraf ishaara hai. aur agar namaz ko chhodhne wala hai toh namaz ki pabandi karne ya nasheehat qabool karne ki taraf ishaara hai. aur agar dekhne wala mareez hai toh qareeb almarg hone par dalaalat hai ya phir sahibe khwab apni qabra pani zindagi main hi khud lega. farj main wati, basa awaqat kisi moti cheez ke tanur main latkane, ya aate ko tanur main dakhil karne, ya aajeeb phal ya lazeez cheez khaane par dalaalat karati hai.

7. khwab main mashoor aurat ki farj ko dekhna us ke raaz par matlaa hone ki alaamat hai.

8. agar farj ko achhi haalat main dekhe toh ye us aurat ke shohar ya us ke ladke ki achhi haalat main hone ki daleel hai.

9. khwab main mard ke liye farj aur aurat ke liye zikra dekhna mard ki buri haalat ke saath zillat, aur aurat ke martabe aur mard ki tarah banne par dalaalat karta hai.

10. baaz hazraat ne kaha hai ki khwab main agar koi mard aurat ki tarah apne liye farj dekhe dara anhaliki woh qaid wagerah main tha toh qaid se chhutkare ke saath nijaat haasil hogi.

11. agar khwab main koi farj dekhe dar anhaliki us ka kisi ke saath jhagdha hai ya us ka koi dushman hai jo us par ghalba chahata hai toh us ka dushman zaleel hoga, khushusan agar us ne jamaa bhi kiya toh dushman ki zillat ki taraf zyada wazeh ishaara hai.

12. apni beewee ke farj ko kotah dekhna dushman par ghalba paane aur badha dekhna dushman ke us par ghalba haasil karne ki daleel hai.

13. taajir agar budhi aurat ki sharam gah dekhe toh khasare main padhega aur farj ki taabeer shahad farj ya khajooron ka karobar karne wala ya sharaab faroosh bhi hoti hai.

14. khwab main agar koi khud ko aurat ki farj main dakhil dekhe toh us main us ke mar jaane ki taraf ishaara hai. baaz hazraat ke nazdeek us khwab main farj ki taabeer safaak qism ka aadmi hai. farj se ayese dhoka dene wale aur makar karne wale par dalaalat hoti hai jo din ke waqt aajzi zaahir karta hai aur raat ke waqt gunaah ka irtikaab karta hai. farj ki taabeer bewaqoof ghulam bhi hai. bewaqoof ka aaraaz wati par daal hota hai, aur chhdhi wagera se marna bhi wati par dalaalat karta hai. farj ki taabeer bachcha wale parinde ke ghonsle se bhi ki jaati hai.

15. agar khwab main kisi ne parinde ko dekha ya us ka maalik hua toh us main dalaalat hai ki woh aurat ka nikah ke zariye maalik banega.

16. farj ke balon ki taabeer aane wale hyeez hain ya ayese shaar hain jin par qabeeh huzu ki gai ho.

17. agar koi khwab main dekhe ki us ka zikra farj main tabdeel ho gaya hai toh quwwat o sabar, aajzi, kamzori aur darne main tabdeel ho jaayegi.

18. agar khwab main kisi ne deka ki us ne apne haath ke saath aurat ki farj ko pakdh liya hai jis se woh zikra main tabdeel ho gai, toh daleel hai woh us aurat ki khilqat ko badal dega. agar aadmi ka ghuman ho ki ab hamesha aurat ki farj zikra rahegi, tohus main dalaalat hai ki woh aurat zuban ke zariye hamesha shohar par musallat rahte hue har baat aur kaam main shohar ki barabri karegi.

19. agar koi khwab main khud ko aurat ki sharam gah chusta dekhe toh use kuch kashadgi naseeb hogi.

20. agar koi khwab main khud ko na maalum aurat ki farj ko kaattadekhe toh us main khushi aur wasaat haasil hone par dalaalat hoti hai.

21. khwab main budhi aurat ki farj ko dekhna duniya ke maamle main kashadgi haasil hone ki alaamat hai.

22. khwab main aurat ki farh ko peeche se dekhna daleel hai kher ya baaz aur lambi dushmani ke baad hone wali muhabbat ki ummeeed karega.

23. khwab main aurat agar apni sharam gah main paani dakhil hota dekhe toh use aulaad danrina ataa ki jaayegi.

24. aurat ki farj ko lohe ya zard rang ka dekhna, maqsood ke hasool main na ummeedi par dalaalat karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!