اسلام
khwab mein Shah-rag Dekhna
Wareed (shah rag)
us ki dalaalat insaan ki maut o hayaat par hoti hai aur kabhi us ki dalaalat har us shakhs par hoti hai jis se sahibe khwab ko kisi ne kisi tarah fayeda aur madad pahunchti hai. maslan shareek kar, bhai, waliden, zawjah asmat ke muhafiz aur maal o wagera.
Shab barg ( ek poda hai )
hazrat Ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ke khawab mein shab barg gumraah aur mahroom mard hai aur agar dekhe ke is ke paas shab barg hai Daleel hai ke us ki sohbat kisi gumraah ke sath hogi aur agar dekhe ke is ne shab barg khaya hai Daleel hai ke us aadmi ke kaam se us ko faida ho ga.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ke agar dekhe ke shab barg is nay darakht se kaanta hai ya darakht sookh gaya hai Daleel hai ke gumraah mard ki mohabbat se is ki judai ho gi aur is ki behtari isi mein hogi.