اسلام

khwab mein Shabba Dekhna

Shabba poda, bareek manke, hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki us ke paas pod hai ya khareeda hai aur us main surakh kiye hue the daleel hai ki us ke ladki paida hogi warna ghamnaak hoga aur deen main neela aur siyah poda kher nahin hai.

hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main safeed aur sabz poda ka dekhna kher aur munafaat par daleel hai aur baaz kahte hain ki zard pod beemari ki daleel hai.

shaba (shikam seer hona)

khwab main uktahat ki daleel hai.

1. jis shakhs ne dekha ki shikam seer ya dekha ki us ka muh khane se bhara hua hai aur mazeed ki balakal gunjaish nahin hai toh daleel hai ki us ke kaam main tabdeeli aayegi. duniyavi zawaal aayega ya maut waaqe hogi.

2. agar dekha ki thodhi si gunjaaish muh main baqi hai toh daleel hai ki is qadar ataa hoga. shaba tahseele maash, maal ki wapsi ki daleel hai. baaz ne farmaya ki khwab main bhuk dekhna seer hone se bahtar hai aur seraabi payaas se bahtar hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!