اسلام
khwab mein Seri (pait Bhara Hua) dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi shakhs khwab main apna pait bhara hua dekhe daleel hai ki beniyaz hoga lekin rahe deen main zaeef hoga aur agar apne aap ko bhuka dekhe daleel hai ki gunah karega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki behtareen khwab woh hai ki apne aap ko na pait bhara hua dekhe aur na bhuka dekhe kyonki donon khilafe tabeeh hain aur jo cheez khilaf tabeeh hoti hai us se mizaaj ko ranj pahunchta hai.