اسلام

khwab mein Sarapa (pardah) dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar apne aap ko sarapa parde main dekhe aur jaane ki us ki mulk hai daleel hai ki buzurgi aur martaba paega aur mumkin hai ki sardar hoga aur agar dekhe ki badshah ke sarapa parde main muqeem hai daleel hai ki badshah se izzat aur martaba paega aur agar dekhe ki badshah ka sarapa parda gir gaya hai daleel hai ki us ki saltanat ko zawaal hoga aur agar dekhe ki badshah ka sarapa parda jal gaya hai daleel hai ki badshah marega aur agar dekhe ki us ko badshah sarapa parda se bahar laaya hai daleel hai ki badshah ki badshahi paega aur mulk haasil karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne faramay hai ki khwab main sarapa parda dekhna paanch wajah par hai 1. saltanat, 2. riyaasat, 3. wailaayat, 4. daulat, 5. sipaahi banna.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!