اسلام

khwab mein Sajda (jaye namaz) dekhna

Sajda


Sajda musalla hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main jaaye namaz dekhna behtari hai aur agar dekhe ki masjid main musalla par bethna hai daleel hai ki mulk hijaaj ke safar ko jaayega. farmane huq taala hai “aur maqaame ibraheem par jaaye namaz banao” khaas kar agar dekhe ki masjid main aatbaar bhi kiya hai.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki jaaye namaz pashm ka ya soot ka hai daleel hai ki itaat aur ibaadat main mashghul hoga aur agar dekhe ki us ka jaaye namaz jal gaya hai us ki taaweel aur ke khilaaf hai aur agar dekhe us ka jaaye namaz pasheemana ka hai daleel hai ki us ki ibaadat riyakaari hogi.

namaz ka sajda

1. jis ne dekha ki us ne rukuq kiya aur sajda kiya aur allah taala ke liye namaz padhi toh woh allah taala ke liye aajzi akhtiyaar karega aur takabbur se bari hoga aur allah taala ke muqarrar karda hadud aur farayez ko qaaem karega. bahut zyada namaz padhega, aur deen aur duniya main jis ki bhi khwahish karega woh use bahut jaldi milegi aur dushman par ghalib aayega.

2. kaha gaya ki jis ne dekha ki us ne allah taala ke liye sajda kiya toh woh dushman par ghalib aaega aur us ki maghfirat ki jaayegi aur agar sajda karne wala gunahgar hai, jab us ne sajda kar liya toh goya gunah se tauba kar liya aur us par sharmindgi ka izhaar kiya aur khatra se mahfooz ho gaya aur apni haazat ko paa liya aur us ko maaf kar diya gaya aur jis ko maaf kar diya gaya toh us ki zindagi lambi hogi.

3. agar us ne dekha ki us ne allah ke alaawa kisi aur ke liye sajda kiya ya sar toh jhuka liya lekin sajda ki neeyat nahin ki toh woh ladhaie jang aur jhagdhe main zaleel o naakam hoga aur agar tijaarat kar raha hai toh us main use khasara hoga aur agar us ki koi zaroorat ho toh woh puri na hogi.

4. aur agar kisi buland pahadhi par us ne allah taala ke liye sajda kiya toh woh kisi taaqatwar aadmi par ghalib aayega.

5. aur agar woh kisi oonchi jagah ya deewar par ho toh woh kisi buland aadmi ka mateea hoga aur us ko zaleel karega.

6. aur neend main sajda karna allah taala par imaan aur gunahgar se tauba ki alaamat hai aur baaz dafaa khwab main rukua aur sajda karne haj par dalaalat karta hai is liye ki allah taala ka irshaad hai “aur baaz dafaa khwab main sajda karna sunnat ke itbaa par uar jannat ke andar huzur sallahu alayehi wasallam ki sohabat par dalaalat karta hai aur khwab main sajda karna kamyabi ki bhi daleel hai aur jis gunah main woh waaqe hai us se tauba ki alaamat hai aur zindagi lambi hone ki bhi daleel hai aur khatron se nijaat hai aur sajdon par bhi dalaalat karta hai aur nusrat aur kamyabi ki bhi daleel hai aur maamlaat mian ye islaah ki alaamat hai, aur baaz dafaa sajda karna dalaalat karta hai ayesi nemat par jise allah taala ne dekhne wale par ki ho.

7. aur jis ne dekha ki sone ki eent chaandi ki eent ko sajda kar rahi hai toh ye us baat par dalaalat kar rahi hai ki koi shareef aadmi kisi ghatiya aadmi ki itbaa karega aur jo saleeb ko sajda kar raha hai toh woh kisi munafiq qaum ki taabaadari gaana bajaane ke aaalat mai karega.

sajud al shukra (sajda shukra)

khwab main sajda addaa karna balaa ke dafaa hone, aur rizaq ke dobara milne ki daleel hai aur sajda ki koshish karne wale ki bartari ki alaamat hai, aur agar us ne allah taala ke liye sajda adaa kiya aur woh darmiyan umar ka tha aur use beemari thi lekin us ke kamr main tedhapan nahin tha toh, woh maal aur nemat ke zareeye taaqatwar aur maaldar hoga aur budha nahin hoga.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!