اسلام
khwab mein Sadqa (pani Pilane Wala) dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne faramaya hai saqqa ayesa shakhs hai ki jis ke haath par kheraat hoti hai khaas kar agar dekhe ki logon ko paani bager tamaa aur laalach ke deta hai.
hazrat ibraheem kirmain rahmatullah alayeh ne farmaya hai gar dekhe ki bager kisi laalach ke saqqaie karta hai daleel hai ki aakhirat ki taraf raaghib hai. agar dekhe ki mashk paani se bhari hai aur kisi ko paani nahin diya hai daleel hai ki maal jamaa karega aur us se aaraam na paega aur agar dekhe ki logon ke gharon main paani le jaata hai ki logon ke liye maal jamaa karega us se us ko faayeda na hoga.