اسلام
khwab mein Saanjh (saanjh) dekhna
Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya ke khwab me jhaanjh kalaam baatil aur jhut hai aur agar dekhe ke us ke samne jhaanj bajaate hai daleel hai ke jhut aur baatil se khush hoga aur agar dekhe ke jhaanj ke sath chung aur chugaanah bajate hai to gam daleel hai jo us jagah walo ko pahuchega aur agar dekhe ke jhaanjhar tuta hai ya us ne gira diya hai daleel hai ke kalaam-e-baatiil aur jhut se tauba karega.
Hazarat jaafat saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me jhaanjhar bajaana 5 wajah par hai
1. Buri khabar
2. Behuda kaam
3. Asbaab
4. Duniya
5. Gam