اسلام

khwab mein Maghfirat Talab Karna


1. khwab main astaghfar wasat rizaq ki alaamat hai haalate namaz ke baghair astaghfar karna umar ki darazi ki taraf dalaalat karta hai baaz dafaa astaghfar ki taabeer allah ki madad aur masaaib se chutkara se ki jati hai.

2. koi shakhs khwab main apne aap ko astaghfar karte hue dekhe toh taabeer ye hai ki allah taala sahibe khwab ke gunah bakhsh dega aur us ke rizaq main zyadati hogi allah taala khwab dekhne wale ko maal aulaad khuddam baghaat anhaar waghaira ataa farmayega.

3. astaghfar se ruk jana nifaaq ki alaamat hai.

4. kisi aurat ne khwab dekha ki goya us ko astaghfar karne ko kaha ja raha hai toh daleel hai ye aurat zina main mubtala hogi.

5. agar kisi ne dekha ki woh namaz se faraghat ke baad qibla ru ho kar astaghfar kar raha hai toh taabeer ye hai ki us ki dua qabool hogi aur ghair qibla ru ho kar astaghfar karna baade gunah tauba ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!