اسلام

khwab mein Lohar Ki Dhonkni dekhna

1. agar kisi ne khwab main lakdi dhonkni paai toh daleel hia us ka martaba kam hoga aur us ka mulk haath se nikal jayega.

2. agar woh khwab main dhonkni ka maalik hua toh us ko badshahat aur wilayat milegi basharteeka woh us ka ahal ho agar na ho toh us ko munafaat aur bhalai haasil hogi.

3. agar us bhatti main aag bhi mojood ho toh hajaton ko pura karne aur rizaq hasil karne par dalaalat karta hai.

4. agar us main aag nahin hai toh gham aur tang dasti ki daleel hai.

5. khwab main soone aur chandi ki bhatti dekhna tauheed main khulasi aur tajardil ibaadat ki daleel hai.

6. sheeha bhatti makar aur dhoka par dalaalat karti hai aur kabhi bhatti zyada hamal wali aur jaldi isteqamat karne wali aurat par bhi dalaalat karti hai aur ayese mard par bhi dalaalat karti hai jo zyada kaam karne wala aur jaldi nafrat karne wala ho aur kabhi bhatti dekhna qaid khana par aur police station aqubiyat khana par bhi dalaalat karta hai agar lohe ki ho toh woh maamlat ke aasan hone ki alaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!