اسلام

khwab mein Lathi dekhna


1. laathi khwab main umda hasab wala aadmi hai jis ke bahut se madad gar hon.

2. apne haath main laathi dekhna kisi ayesi shareef o hasab wale matlabi aadmi se madad lena hai jis main nifaaq ho jo apnen maal ke badhne ke chakkar main ho aur dushmanon par kamiyab bhi hota ho.

3. agar dekhe ki khokhli laathi par sahara liya hua hai toh maal zaaya hone ka khatra hai.

4. agar khwab main laathi toot jaye agar sahibe khwab wali hai toh maazul hoga aur agar tajir hai toh tijarat khatam ho jayegi.

5. agar dekhe ki laathi zameen par maari hai toh us zameen par ya us zameen ke mulk par ghalib ayega.

6. khwab main laathi tootna ayese shadeed marz ki alaamat hai jis main qawwa jawab de jayein laathi se muraad ayesa qawwa aadmi hota hai jis par aatmaad kiya ja sake.

7. jo shakhs khwab main khud ko lakdi ke sahare par chalta dekhe toh woh kashti ka safar karega laathi amar nahin dushmani par madad aur husool maqsad ki daleel hai.

8. agar laathi khujoor ki tehni ki hai toh iryani ki daleel hai.

9. agar laathi badaam ki ho toh achhai ya burai jo haalat bhi hai us ki ye haalat khatam hogi.

10. aur agar laathi shaftalo ki ho toh kabhi us se muraad nifaaq fi al deen hota hai.

11. kabhi laathi se muraad saanp aur jaadu bhi hota hai.

12. agar dekhe ki kisi ko laathi se mara hai toh us par zubaan daraazi karega.

13. agar dekhe ki patthar par laathi maari aur us se chasma jaari ho gaya toh agar faqeer hai toh ghani hoga agar ghani hai toh ghunna main mazeed taraqqi hogi us ki taabeer bahar soorat rizaqe kaseer hai.

14. kabhi asaa se muraad khabees al zahan mard bhi hota hai is liye ki asaa ladki hai aur lakdi ki taabeer munafiq mard hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!