اسلام

khwab mein langra pann dekhna


1. khwab main langra pan ayese maamle se aajiri par hai jis ka us ne irada kiya hai.

2. aur kaha gaya hai ki jis shakhs ne apne aap ko langra dekha us ko ilm faqahat aur deen mai zyadati haasil hogi aur langra pan safar par bhi dalaalat karta hai.

3. jis shakhs ne apna daaya paaon beemar ya toota hua nikala hua dekha pas agar us main zakham bhi ho toh us uska baita mareez ho jayega.

4. agar zakham baayein paaon main dekhe toh us ki baiti ke liye paighaam nikah aayega aur agar baiti nahin hai toh us ke haan baiti paida ho jayegi.

5. agar bayan paaon toot gaya aur us ne safar ka irada bhi kiya hua hai toh us ko chahiye ki thahar jaye aur zaahir na ho.

6. agar paaon nikal gaya toh us ki beewi beemar hogi.

7. agar ek pindli dusri pindali se badi ho gai toh woh safar karega aur woh safar main hi mar jayega.

8. jis shakhs ne apne aap ko langra apahij ya bojhil paaon wala dekha ya akdu chalta raha toh apne maqsad ke husool main kamzor hoga aur kabhi langra pan umar main zyadati deen main quwat aur ilm main pukhtagi par bhi dalaalat karta hai aur agar qasam khai hai toh us ko pura karega allah tala ka farman hai aur na hi langre par koi harj hai muraad agar langdi aurat dekhe toh us ko naqis kaam milega usi tarah aurat langra mard dekhe toh us ko bhi naqis amal se dau chaar hona padega kisi budhe langre ke dalaalat daade aur ayese dost par hoti hai jis main naqs ho.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!