اسلام

khwab mein Laathi Asaa dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main laathi buzurgwar baizzat shakhs hai agar dekhe ki us ke haath main laathi hai ya kisi ne us ko di hai daleel hai ki us ko kisi budhe aadmi se izzat aur martaba haasil hoga. aur agar dekhe ki us ki laathi zaaya hui hai toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai aur agar dekhe ki laathi par tek lagaye hue hai daleel hai ki kisi budhe aadmi ki madad se jis cheez ki talaash main hai haasil karega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki laathi us ke haath main daraz ho gai hai daleel hai ki muraad ko pahunchega aur agar kotaha ho jaye toh us ki taaweel khilaf hai. aur agar dekhe ki us ne apni laathi kisi ko bakhshi hai daleel hai ki halaak hoga aur agar dekhe ki laathi us se baatein karti hai daleel hai ki us ke farzand paida hoga.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main laathi ka dekhna teen wajah par hai 1. budha sardar 2. badshah 3. quwat o taaqat.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!