اسلام
khwab mein Kissan dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki kisaani ka kaam khwab main khudai taala par tawakal aur halaal ki rozi hai neki aur mard faazil nek soorat hai aur agar dekhe ki takhmam bone ke liye zameen joti hai daleel hai ki khairaat aur sadaqat dega aur us fan ke astaadaan ne farmaya hai ki agar dekhe ki kisaan ka kaam karta hai toh beemari par daleel hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki zameen joti ahi aur takhmam daala hai aur us ko phir jama kiya hai daleel hai ki buzurgi aur martaba aur nemat payega aur agar dekhe ki takhmim boya hai aur baarish padhi hai jo kuch hum ne bayan kiya hai behtar aur zyada umda hoga aur agar dekhe ki boye hue se kuch haasil nahin hua hai uar ye bhi maalum nahin hai ki baarish kesi hai toh gham wa andwah par daleel hai aur agar dekhe ki us ne baajra boya hai toh daleel hai ki thoda maal payega.
hazrat daaniyal alayeh alsalam ne farmaya hai agar dekhe ki apni zameen main takhmim boya hai daleel hai ki aurat karega aur us ka kaam durust hoga aur agar saudagar apni zameen nakashta dekhe toh daleel hai ki nuqsaan dekhega ya kisi se jhagda karega aur agar dekhe ki namaamlum zameen joti hai aur beech boya hai daleel hai ki jihaad karne aur khairaat o sadqaat dene par raaghib hoga aur agar apni mulk zameen ko boi hui dekhe daleel hai ki us par nemat farakhi hogi aur agar gaihun ya jo ya darakht apni zameen main boya hai toh usi qadar izzat aur martaba par daleel hai jis qadar ki us ne boya hai.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaasht kaari paanch wajah par hai 1. halaal ki rozi talab karna 2. khair o munafaat haasil karna 3. beemari 4. izzat aur martaba 5. maashiyat.