اسلام
khwab mein Kishmish Dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kishmish maal aur nemat par daleel hai agar dekhe ki us ke paas kishmish hai ya kisi ne us ko di hai aur us ne khaai hai daleel hai ki usi qadar kher o munafaat us shakhs ko pahunchega aur agar dekhe ki us ne kishmish se paani juda kiya hai aur peeya hai agar aalim hai toh ilm aur zyada hoga aur agar saudagar hai toh maal zyada hoga.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ke paas kishmish ka dher hai agar aalim hai toh us ke maal zyada hone par daleel hai aur agar ahale hurfah hai toh us ko pura maal kasab se haasil hoga.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khawb main kishmish teen wajah par hai 1. munafaat 2. maale halaal 3. kasab.
(kishmish khushk angoor)
ye khwab main nafe rizaq par dalaalat karta hai khwah kisi bhi jins se hawa aur kisi bhi kaale surkh ya safed rang se ho.