اسلام

khwab mein khajoor ka darakht dekhna

Khajoor
Darakht khurma (khajoor ka darakht)

darakht khurma khajoor ka darakht. agar khajoor ka darakht khwab main dekhe. toh shareef aur aalim mard par daleel hai, aur agar dekhe ki us ke ghar main khajoor ka darakht hai. daleel hai ki kisi badhe aadmi ka aashna hoga, aur agar khajoor ka darakht baagh main dekhe. daleel hai ki us ke taaweel sahibe baagh ki taraf ruzua karti hai.

tamar (khajoor)

1. khwab main khajoor dekhna daleele baaraan hai, aur khajoor khana ayesa rizaqe aam hai ki jis main koi aur us ke saath shareek na hoga.

2. kabhi khajoor khana tilawat quraan ki aur deeni munafaat ke hasool ki daleel hai.

3. dabai houi khajoor zakhira kiye hue maal ki taraf ishaara hai.

4. aur phelaai hui khajoor na baaqi rahne wale maal ki daleel hai.

5. khajoor khana baaz auqaat zimmi hone par bhi dalaalat karta hai.

6. kisi ne khwab dekha ki khajoorein us ki taraf chali aa rahi hain toh daleel hai ki kisi badhe rutbe wale aadmi ki taraf se us ke paas maal aayega.

7. wazan karda khajoor maale ghaneemat par daal hai.

8. khajoor pakne ke mausam main kisi ne khwab dekha ki woh khajoor ke darakht se khajoor chun raha hai toh taabeer ye hai ki sahibe khwab ek maldar, tez tabeeyat wali shareef kaseer al kher o albarkat aurat se nikah karega dusri taabeer ye hai ki kisi shareef aadmi ki taraf se bila mahnat ke maal meelega, kabhi us khwab ki taabeer hasoole ilm se bhi ki jaati hai.

9. agar be mausam ye khwab dekhe toh ilm bila amal ki alaamat hai.

10. kisi ne dekha woh khajoor ke khushk tane se taazi khajoor haasil kar raha hai toh daleel hai ki woh kisi munafiq aadmi se ilm naafe haasil karega.

11. agar mazkura khwab koi ghamzada shakhs dekhe toh gham se nijaat paega jesa ki hazrat mariyeam alayeh al salam ka waqiya hai.

12. kisi aurat ne khwab dekha ki woh ghuchhe se kahjoor kha rahi hai toh daleelhai ki woh apne shohar ki meeras haasil karegi aur ye meeras us ke liye posheeda taur par mutalqa hone ki wajah se haraam hogi. agar yahi khwab mard dekhe toh ye beewee ke khufiya taur par mutalqa hone ki alaamat hai.

13. kisi ne khwab main khajoor uthai aur us ko do tukdhe kar ke us se ghutli nikali toh ishaara hai ki us ke haan bachha paida hoga.

14. kisi ne dekha ki khajoor ke darakht se angoor ke kaale daane chun raha hai toh taabeer hai ki us ki beewee kisi kaale rang ke ghulaam se bachcha janegi khajoor ki taabeer rizaqe halaal se bhi ki jaati hai.

15. kis ne dekha ki woh behtareen khajoorein kha raha hai toh daleel hai ki sahibe khwab achhi achhi baatein sunega ya munafaat azeema haasil karega.

16. kisi ne khwab dekha ki woh khajoor daba raha hai toh daleel hai khazanon se us ko maal milega ya yateemon ka maal us ko haasil hoga ya woh apna maal store karega.

17. kisi ne dekha ki woh chalees khajoorein khajooron ke mausam main kha raha hai toh taabeer hai ki chalees hazaar dirahm paega.

18. kisi ne dekha ki khinzeer ke pait se khajooron ki tokriyan nikal rahin hain aur woh utha raha hai aur apne ghar ki taraf le jaa raha hai toh taabeer hai ki kuffar ka maal bataure ghaneemat haasil karega.

19. kisi ne dekha ki woh khajoor choos raha hai aur kisi dusre ko pakadh raha hai aur woh bhi us ko choos raha hai toh daleel hai ki woh shakhs sahibe khwab ke saath kisi nek kaam main shareek hoga.

20. baaz dafaa khajoor khane ki taabeer hasoole halaawate imaan se ki jaati hai.

ajwah (ajwah khajoor)

1. khwab main ajwah halaal o teeb maal ki daleel hai. ye aur deegar khajoorein har marz ki dawa ki alaaamat hain khaas taur se madni khajoorein.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!