اسلام
khwab mein Keechar Khana
Gul khurdan keechad khana, mitti khana hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki mitti khaai hai daleel hai ki murdon ko bura kahta hai agar dekhe ki keechad ko mitti ke saath khata hai daleel hai ki apna maal ayaal par kharch karega aur agar dekhe ki aanhazrat sallallahu alayehi wasallam ki qabar mubarak par se khaak khata hai daleel hai ki hajj karega aur agar dekhe ki ghar ki lipai mitti se ki jaati hai daleel hai ki ghamgeen hoga.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main safed aur sabz mitti ka dekhna maale halaal hai aur zard mitti ka dekhna beemari hai aur surkh mitti ka dekhna khel aur tamasha hai aur siyah mitti ka dekhna gham wa andwah aur andeshah hai aur kisi mele aur gadle paani ka gaaraa banai hui mitti gham wa andwah par daleel hai aur agar khwab main dekhe ki keechad main gharq ho gaya hai daleel hai ki badi mahnat main padhega aur khulasi na payega aur agar dekhe ki keechad se bahar nikala hai aur apna jism aur keede khub saaf kiye hain daleel hai ki sahibe khwab gham wa andwah se rihai payega.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki garam ilaaqe main keechad ka dekhna sard nisbat zyada sakht hai.
1. keechad dekhna aamad kher ki alaamat hai khususan agar woh qadre sakht bhi ho.
2. faqeer shakhs ke liye ye khwab aasaan tareeqe se rizaq milne aur faqaa ke khatam hone ki daleel hai.
3. ghair shaadi shuda ka keechad dekhna karne aur saas wa sar wale hone ki itlaa hai aur kabhi keechad ki dalaalat thodi bahut aish par bhi hoti hai.
4. khwab main us ka hasoole sahibe khasar o saas hone ki daleel hai aur kabhi us ki dalaalat gham, sadmah aur khauf par bhi hoti hai.
5. khwab main keechad keandar daakhil hona gham wa hazan ke saath sardar banne ki daleel hai aur kabhi keechad ki dalaalat zaaid amwal aur mubadi munafa aur kher aur sardari zaahir hone par hoti hai.
6. khwab main keechad main chalna gham aur dushwari fitna wa mashakkat main mubtala hone ki daleel hai.
7. kisi ilaqe main keechad dekhna us ilaqe main rahne walon ke liye gham wa taklif pahunchne par dalaalat karta hai aur us main daakhil hone ki bhi yahi taabeer hai.
8. agar qawi ghalib shakhs khwab main baarish main chalta hua khud ko dekhe toh baqadar keechad dushwari aur gham main mubtala hoga.
9. aur baaz ulma taabeer ke nazdeek khwab main keechad main chalna badan main naqas waqe hone par dalaalat karta hai.
10. mareez shakhs ka keechad main daakhil ho kar us se nikalna marz se nikalne aur aafiyat pahunchne aur keechad se na nikal sakna us beemari ke daaimi hone ki alaamat hai.
11. agar sahat mand shakhs khwab main keechad daakhil ho jaye ya us main chalta rahe aur us se us ke kapde aur jism maloos na ho jaye toh ye bala ya qaid main mubtala hone ya kisi badshah ke haath chadne ke baad apne deen o duniya ko bacha kar nikalne ki daleel hai.
12. agar us se na nikal sake toh ye mazkura masaaib main mubtala hone par dalaalat karta hai.
13. khwab main gaad raha keechad ko eeint banana taabeer ke aetbaar se koi achha nahin hai is liye ki dalaalat gham, museebat aur jhagde par hoti hai lekin woh eeint aur mitti khushk ho jaye toh taabeer hai mahnat wa mashakkat ladaai jhagde aur takleef ke baad milega aur kabhi us khwab ki dalaalat deen, izzat, maal ke maamle main kalaam karne ki taabeer aurat ke liye bete se haamila hone par hoti hai allah taala ka farman hai aur kabhi keechad ki dalaalat kaamon main taatil waqe hone aur kabhi namazon se munqata hone par bhi hoti hai aur kabhi keechad ki dalaalat gzre hue ya aaina saalon par bhi hoti hai aur kabhi kabhi keechad ki dalaalat ahwale gujishta aainda saal par bhi hoti hai aur kabhi us ki taabeer qaari ke liye sakhti se bhi ki jaati hai aur kabhi us ki dalaalat nematon par bhi allah taala ke saath kufar o shirk par fakhar karne par bhi hoti hai.
14. khwab main apne sar aur daadhi ko mitti se lat pat dekhna raat ka kaam karne daleel hai.
15. khwab main keechad ka mitti banna achha shohrat ki daleel hai aur allah taala ki ataat ka sabab hai.
16. us keechad ka khushk ya gundha hua aata banna apni mahnat se pak o halaal rizaq kamane ki taraf ishara hota hai.
17. kaali rang ki mitti ka surkh main tabdeel hona ek zameen dusri zameen ki taraf muntaqil hone ya ek khalqat se dusri khalqat akhtiyar karne par dalaalat karta hai ya kaalon par safedon ko tarjih dene ki alaamat hai.
18. us ke surhkh mitti ke rang ka kaala hona safed aurton ko chhod kar kaaliyon ki taraf maail hone ki taraf ishara hai aur kabhi keechad ki dalaalat bad khalaq aurat par bhi hoti hai qahat aur zameen ke banjar hone ke zamane main khwab main keechad dekhna sabzah ki kasrat ki basharat hai.
19. kunwein ke keechad ki dalaalat meeras aur zahoore barkat par bhi hoti hai ya kunwein se maabbar logon ke asraar se waqfiyat ki alaamat hai.