اسلام

khwab mein Kasdam Khawara dekhna


Ek jaanwar hai

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kasdam khwara ek jaanwar hai ki khujistaan main paani ke andar rahta hai aur zameen par dum gheesta aur us ka zakhmi foran halaak hota hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai khwab main kasdam khwara aqlmand aur burdbar aur aajiz aur siyaram aur sheereen shukhan dushman hai aur woh dushmani main sakht hai aur agar dekhe ki us ko kasdam khwara ne kaata hai daleel hai ki us qasam ke dushman se jis ka oopar zikar hua hai us ko bala aur ranj pahunchega aur agar khwab main dekhe ki us ko kasdam khwara ne kaata nahin hai daleel hai ki dushman se aman main rahega aur agar dekhe ki koi cheez kasdam khwara jesi thi aur us se dara hai daleel hai ki kisi ko dushman samajh kar andesha karega haalanki woh us ka dushman na hoga.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!