اسلام

khwab mein Kasaa (chadar) dekhna


Chadar ki taabeer libas hai.

1. garmi ke ba nisbat sardi main chadar dekhna taabeer ke lihaaz se bahtar hai.

2. ayese aadmi ke liye jo bedari main chadar audhne ka aadi nahin hai khwab main chadar audhna faqar ki daleel hai. aur chadar raees aadmi par bhi dalaalat karti hai. chadar tajir, imaam, faqeeya ke liye ayese bete ki alaamat hai jis se un ka faqar se bachna mutaaliq hai. aur deegar masaaib se bachao hai.

3. khwab main chadar main mel kuchal dekhna maashiyat ki kamzori aur naqse jaah ki daleel hai. garmi ke mausam main chadar pahnna gham main mubtala hone ki taraf ishaara hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!