اسلام
khwab mein Kargas dekhna
Kargas gadh murdaar khor jaanwar hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki gadh parindon ka saradar hai aur qawi aur neez hai aur parindon main se daraz umar hai agar dekhe ki us ke paas gadh hai daleel hai ki kisi buzurg aadmi se munafaat aur buzurgi payega aur badshah se maal aur darkhwast haasil karega aur agar us ke paas haddi ya gadh ka bana hua gosht hai toh bhi yahi taaweel hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ko ghadh ne pakda hai aur hawa main aasmaan ke nazdeek le gaya hai daleel hai ki zor ka safar karega aur bahut saa maal aur nemat haasil karega lekin us ke deen main fasaad hoga kyon ki gadh ke saath aasmaan par jaa kar mara nahin hai aur agar dekhe ki gadh ne us ko hawa se giraya hai ya us ke neeche se khud gira hai daleel hai ki sharaf aur buzurgi se girega aur us ka kaam kharab hoga aur agar dekhe ki gadh us ko aasmaan par le gaya hai aur woh us jagah muqeem hua hai daleel hai ki safar ko jaayega aur wahin marega aur agar phir wapis zameen par aaya hai toh badshah se buzurgi payega ya badshah ke ahal se ya pane khushiyon se buzurgi payega aur baghair neeche ke gadh khwab main farishte ka dekhna hai kyon ki farishte aalameen arsh gadh ki soorat par hain aur agar dekhe ki gadh us ke sar ke oopar se shikaar karta hai daleel hai ki sahibe khwab sodagari karega aur agar dekhe ki woh gadhe ke saath jang karta hai uar us par ghalib aaya hai daleel hai ki bade aadmi ke saath jang karega aur us par ghalib aayega aur agar us ke khilaaf dekhe toh dushman us ko maghlub karega aur agar khwab mian gadh ka bachcha dekhe agar aurat rakhta hai us ke haan farzand hoga warna daulat mand kunwari ladki se shaadi karega aur agar dekhe ki us par gadh betha hai daleel hai ki us par phansi par latkayege.
hazrat daniyal alaayeh alsalam ne farmaya hai agar dekhe ki kucha main gadh utra hai daleel hai ki wohan badshah utrega aur agar dekhe ki kucha main gadh ko maara hai daleel hai ki us mulk ka badshah maazul ya halaak hoga.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main gadh ko dekhna chha wajah par hai 1. buzurgi 2. hukam 3. riyasat 4. sana aur taareef 5. martabah 6. amar aur nahin karna.