اسلام

khwab mein Kapra dekhna


Soob (kapra)

1. kisi ne khwab dekha ki us ne oon ka kapra zaib tan kiya hua hai toh taabeer hai ki woh zahid ki zindagi guzare ga aur dusron ko zahid ki zindagi guzarne ki daawat dega.

2. sabz rang ka kapra nafaa aur aadam mazrat par dalaalat karta hai.

3. kisi ne dekha woh sabz rang ka kapra pahne hue hai toh deen ki pukhtagi ki daleel hai.

4. aur maiyyat ko sabz kapron main mablus dekhna allah us ki achhi haalat par dalaalat karta hai.

5. baaz ulmaai taabeer kahte hain ki sabz libas pahnna meeras milne ki taraf ishaara hai.

6. aur safaid kapron main mablus hone ki taabeer bahtar hai.

7. rangrez ka safaid kapron main apne aap ko dekhna behudgi ki alaamat hai aur usi tarah har qeemati kapra pahnna daleel behudgi wa bekari hai is liye ki rangrez rang ka amal karte hue safaid kapre nahin pahnte.

8. kisi ne dekha ki us ne kaale rang ka kapra pahna hua hai haalanki bedari main kaale rang ke kapre pahnne ka aadi nahin hai toh daleel hai ki usko na pasand maamle se do chaar hona padega.

9. aur agar ayesa shakhs ye khwab dekhe jo haalat bedari main kaale kapre pahnne ka aadi hai toh ye khwab uske liye daleel sardari, sharaf o hukumat hai.

10. khwab main surkh kapre main mablus hona ayesa maal milne ki daleel hai jis main allah taala ka huq mutaalik aur wajib hai aur zakaat ke maamle main darne ki taraf ishaara hai.

11. aurat ka apne aap ko surkh libas main mablus dekhna uske liye khushi ki alaamat hai.

12. kisi ne khwab main badshah ko surkh libas zaib tan kiye hue dekha toh daleel hai kiwoh lahu o laab main mashghul hoga aur uski hukumat kamzor hogi aur dushman usko lalchai hui nazaron se dekhega.

13. mareez ka apne aap ko surkh kapron main dekhna uski maut ki daleel hai.

14. aur fuqraa ke liye bhi ye khwab nuqsaan o mazarat ki alaamat hai.

15. range hue kapron ki taabeer baazuo ke liye phodha phunsi aur baazuon ke liye bukhar main mubtala hone ki daleel hai.

16. ghair shaadi shuda aurton ke liye surkh libas pahnne ki taabeer achhi hai aur un logon ke liye bhi bahtar hai jawab tak ummeed jang main nahin utre.

17. surkh range hue kapre pahan kar eid gah ya dusre ijtimaat main jaana koi mazar nahin hain.

18. khwab main peele rang ke kapre pahnna daleel marz o alaamat kamzori hai magar peele rang ka reshami kapra pahnna fasad fi aldeen ki alaamat hai.

19. kisi ne dekha ki mukhtalif rangon main range hue kapre pahan rakhe hain toh daleel hai ki sultane waqt se na pasandeeda baat sune ga usko chahiye ki us ke shar se allah taala ki panah talab kare.

20. kisi ne dekha ki woh do rang ke kapron main mablus hai ya talilsan kapra pahan rakha hai toh daleel hai ki sahibe khwab deendaron aur duniyadaron donon ki madaarat karta hai.

21. maghsool kapre faqar wa deen par dalaalat karte hain aur jadeed magar mele kapre deen wa zanub ki alaamat hote hain.

22. mukhtalif rangon main manqash kapra sharab farooshon ya kisi qism ke mashro baat faroosh ke liye kher ki daleel hai aur un ke alaawa dusre logon ke liye pareshani, shiddat, ashiyaa khafiya ke zahoor ki taraf masheer hai.

23. aur mareez ke liye ayesa khwab dekhna bad hazmi aur kadhwahat aur azad ya wa maraz ki alaamat hai aur kabhi us ki taabeer peela pan ke marz main mubtala hone se ki jaati hai.

24. yahi khwab aurton ke liye bahtar hai khas kar maaldar, fahsha aur maghniyat qism ki aurton ke liye bahut bahtar hai.

25. kisi ne khwab dekha ki woh resham ke kapdhon main mablus hai toh daleel hai ki us ko haz naseeb hoga.

26. aur surkh rang ka resham pahnna duniya ki alaamat hai jo jiddat ke saath milegi aur peele rang ka resham duniya al marz par dalaalat karta hai.

27. kisi ne dekha kius ne chhupa kiyha hua kapdha pahna hai agar woh wilayat ka ahal hai toh zameendaron ka wali banega aur hukumat karne ki salahiyat us main na ho toh taabeer hai ki usi saal us ko khushhali naseeb hogi.

28. kisi ne khwab main kisi aalim ko resham ke kapdhe pahne hue dekha toh daleel hai ki woh duniya talab kar raha hai aur bidaat ki taraf logon ko bula raha hai.

29. naqsh o nigar wala kapdha pahnna haj aur kisi arab mulk ke safar par dalaalat karta hai.

30. kisi ne dekha ki us ne apne kapdhon ke neeche bareek kapdha liya hua hai toh daleel ki us ke paas maal aayega aur woh us ko zakhira kar lega.

31. aam kapdhon ke upar bareek kapdha pahnna makar wa aur khatafi al deen ki daleel hai aur aalaniya faisq o fujur ki alaamat hai.

32. mote kapdhe ki taabeer bareek ke muqable main bahtar hai.

33. aurat ka bareek kapdha pahnna us ki izzat ki taraf ishaara hai aur mota kapdha pahnna shafaqat ki alaamat hai.

34. sone chandi se bana hua kapdha deeni o duniyawi islaah ki alaamat hai aur ummeed bar aane ki daleel hai.

35. naram wa qeemati libaas pahnna aghiya wa faqeer ke liye bahtar hai aur ghulamon aur khadimon ke liye daleel marz hai.

36. khwab main naya kapra pahanna ghani ke liye zyadate maashiyat aur faqeer ke liye sarwat aur madeeyun ke liye adaayegi deen ki daleel hai.

37. kisi ne khwab dekha ki us ne ghusl kar ke naye kapre pahne toh us ka gham jaata rahega aur use bahtari haasil hogi.

38. kisi ne dekha ki us ne ghusl kiya naye kapre nahin pahne toh daleel hai ki us ko jo kuch meelega su se us ki mawagifat nahin hogi.

39. kisi ne dekha ki su ne khwab main ayesa naya kapra pahna hai jo phata hua hai aur us ki phatann na qabil islaah hai toh daleel hai sahibe khwab laa walad hoga.

40. agar phatan qabil islaah hai toh daleel hia ki sahibe khwab par kisi ne jaadu kiya hai.

41. phate purane kapre pahnna maut par bhi dalaalat karta hai.

42. aur purane kapra pahnna gham o hum par bhi dalaalat karta hai.

43. kisi ne dekha ki us ke kapre chodai main phate hue hain toh daleel hia ki us ki izzat par harf aayega aur kisi shareer aadmi ki tarf se us ko takleef pahuchengi.

44. kapron ka taulan phat jaana daleel kashadgi hai.

45. kapra pharne wale ki taabeer khud sahibe khwab hai agar us ko jaanta hai agar us ko nahin jaanta toh daleel hai ki sahibe khwab ko ayesa nuqsaan pahuchega jis ki wajah se woh mashoor hoga.

46. baaz dafaa kapron ka phat jaana deeni nuqsaan ki alaamat hota hai aur kabhi ye khwab zindagi tang hone ki bhi alaamat hai.

47. aur qabeeh qism ke kapre nuqsaan ki alaamat hain.

48. khwab main kapron ke andar tari dekhna safar ke baad iqaamat ki daleel hai aur qasad kiye hue kaam mahbus hone ki alaamat hai.

49. khwab main apne ya dusron ke kapre dhona maaash main aane wale nuqsaan ke dafaa hone par dalaalat karta hai aur makhfi ashiya ke zahoor ki bhi alaamat hai.

50. khwab main apne kapron ko zaya karna faqeer, madyus aur ghulam ke liye bahtar nahin hai aur mazkura afraad ke alawa logon ke liye kher ki alaamat hai aur kabhi ye khwab zeenat ke khatam hone ki daleel hai.

51. kisi ne khwab dekha ki us ne zanana libas pahan rakha hai aur dil main aurton ke saath tashba ka khayal bhi aa raha hai toh sakht gham aur hukumate waqt ki taraf se sakht khayef rahne aur musallat hone ki taraf ishaara hai.

52. kisi ne khwab dekha ki woh aurton ke libas main mablus hai aur un ke aurton ki taraf us ka bhi faraj hai toh daleel hai ki us ki haalat maatgheer hogi aur zillat ka saamna karna padhega. aur agar us faraj se jamaa bhi karaye toh dushmanon se maghlub hone ki alaamat hai.

53. kisi ne dekha ki us ne mahjool qism ke kapre pahan rakhe hain aur un main mukhtalif rang badalta rahta hai toh us ki apne dil ke mansha ke mutaabiq badlne ki alaamat hai.

54. kisi ne dekha apne kapre kha raha hia toh alaamat hai ki woh apne us maal se khayega jo kapron ki taraf mansub hai.

55. phate hue naye kapre milna khuli raqam ki taraf ishaara hai aur purane kapre gham ki alaamat hain.

56. khwab main kutte ko oon ka kapra pahna hue dekhna badshah ke adal o insaaf karne par dalaalat karta hai.

57. sheer ko rui aur kaatan ke kapre pahane hue dekhna badshah ke zulm aur amwaal chhinne aur mahrum karne par dalaalat hai.

58. khwab kitan (tasar) ke kapre pahnna maazaz maashiyat aur maale halaal par dalaalat karta hai.

59. khwab main mele kuchele kapre utarna ya un ko jalana gham ke door hone ki alaamat hai.

60. kabhi naye kapre khana maale halaal aur mele kapre khana maale haraam khane par dalaalat karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!