اسلام

khwab mein Kaneez dekhna

Kaneez
Londi

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaneez kher aur neki hai jis qadar ki us ka jamal hai agar koi khwab main dekhe ki us ke paas khubsoorat farba kaneez hai daleel hai ki sahibe khwab ko pishida taur par koi cheez pahunchegi aur us se mutfikar hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaneez maal hai agar dekhe ki kaneez us ne khareedi hai toh kher o neki par daleel hai aur agar farokht ki hai us ke daam liye hain daleel hai ki ghamgeen hoga aur agar dekhe ki khareedi hai toh shaadi o kharam hoga aur maal payega aur agar dekhe ki kaneez barhana hai daleel hai ki nuqsaan pahunchega aur agar dekhe ki khubsoorat kaneez bandhi hui hai aur apne ghar main laaya hai daleel hai ki us ki shaadi aur munafaat haasil hogi.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!