اسلام
khwab mein kamra dekhna
1. kamre ki taabeer beewee hai. kabhi khwab main ghar dekhna khud sahibe ruiyyat ke jism par bhi dalaalat karta hai.
2. kisi ne dekha ki woh apne ghar ke andar naya kamra bana raha hai agar sahibe khwab beemar hai toh sahatyab hoga aur us ka jism saheeh ho jayega aur agar us ke ghar main koi mareez hua us ki sahat ki alaamat hai lekin agar aadat murde ko ghar ke kamre main dafan karne ki ho toh taabeer ye hai ki woh hi kamra us ki qabar banega khususan us ghar ko mushkil muqaam main banaye ya us main dhol baaje dekhe aur agar us ghar main koi mareez na ho aur koi ghair shaadi shuda fard ho toh us ki shaadi ho jayegi aur us kamre main zafaaf hoga.
3. kisi ne dekha ki woh majhool ghar ki chhat par chad gaya hai toh ye baqadar kamra aurat ki daleel hai.
4. kisi ne dusre karon se alhayeda kiye hue chuna kiye hue kisi kamra main daakhil hua aur jis main baatein bhi ho rahi hon toh ye us ki qabar ki taraf ishara hai.
5. kisi ne dekha ki us ko ghar ke wasat ke kamre main band kar ke darwaza maqfal kiya gaya hai toh kher o aafiyat milne ki taraf ishara hai.
6. kisi ne khwab main dekha ki woh kamre ko utha kar chala jaa raha hai toh ye daleel hai ki khwab dekhne wala kisi aurat ke kharche ki maunat bardasht karega.
7. aur agar kamra us ko lekar chal raha hai toh taabeer ye hai ki woh aurat us ki maunat bardasht karegi.
8. kisi ne khwab dekha ki us ka kamra sone ka hai toh ye ishara hai ki us ka ghar jal jayega.
9. khwab main kisi chhote kamre se nikalna gham se nikalne ki taraf ishara hai.
10. baghair chhat ke kamra main suraj ya chaand ka tulu hona us ghar ki aurat ke nikah ki alaamat hai.
11. kisi ne dekha ki su ke ghar main ek kachchi mitti wale kamre ka izaafa hua jo pahle us ghar main na tha toh daleel hai ki us ghar main ek nek saleh aurat ka izaafa hoga aur ye kamra chune aur eeint ka ho toh ishara hai ki us main ek makkar wa munafiq aurat ka izaafa hoga.
12. khawb main lohe se bana hua kamra dekhna sahibe khwab aur us ki beewee ki darazi umar ki taraf ishara hai aur chune aur eeint ka kamra makaron nifaaq ki alaamat hai.
13. nadhera kamra bad khalaq aur kameeni aurat ki taraf ishara hai aur yahi khwab agar aurat dekhe toh bad khalaq shohar ki alaamat hai.
14. kisi ne dekha ki kamra logon ko lekar chal raha hai toh ye us ghar main rahne walon par museebat ki daleel hai.
15. kisi ne dekha ki us ke kamre ko paani chhidak diya gaya hai toh ye baqadar chhidakao beewee ki taraf se gham pahunchne aur phir us se nijaat ki alaamat hai.
16. kisi ne khwab dekha ki woh kisi shahar main makaan bana raha hai us main kamre hain aur qile hain toh taabeer ye hai ki sahibe khwab us shahar main nikah karega aur us ke bachche honge.
17. kisi ne dekha ki us ka kamra pahle se zyada kashada ho gaya toh taabeer ye hai ki us ghar main khushi wa khushali hogi aur aurat ki jaanib se daulat milegi.
18. kisi ne dekha ki woh naye kamre ki buniyad daal raha hai toh ye bahut bade gham ki taraf ishara hai.
19. naya kamra dekhna dushmanon ki maut ki bhi alaamat hai.
20. khwab main ghar ko manqash karte hue dekhna us main khusumat wa jhagde ki taraf mayashshar hai.
21. kisi ne dekha ki us ke ghar main andhera chhaya hua hai toh ye be faaida wa be saroor lambe safar ki taraf ishara hai.
22. apne kamre ko roshan dekhna safar karne aur us main bhalaai naseeb hone ki alaamat hai.
23. kisi ne khwab dekha ki woh apne kamre ko manhadam kar raha hai toh daleel hai ki koi dusra us ke maal ka waaris hoga.