اسلام

khwab mein Kamar Band dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki kamar band bandha hua hai daleel hai ki koi muraad ki pusht o panah hoga aur baaz kahte hain ki us ki pusht o panah farzand ya khweesh hain aur agar dekhe ki kamar band moti aur jawahrat se judaao hai daleel hai ki us ki qeemat ke mutaabiq maal haasil karega aur us se pusht o panah qawi hogi aur mumkin hai ki us ke haan farzand ho jo tamaam qabeelon main iqbaal aur daulat mand hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ki kamar par teen chaar kamar bandhe hue hain daleel hai ki us ka maal aur nokar chaakar bahut honge aur kahte hain ki us ki umardaraz hogi aur agar dekhe ki us ko kisi ne kamar band diya hai aur us ne kamar par bandha hai ki safar ko jayega aur agar dekhe ki kamar band toota hai aur gira hai aur zaaya hua hai daleel hai ki us ke maal aur buzurgi ka nuqsaan hoga.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ka kamar band jawahrat se judaao hai daleel hai ki qaum ka sardar hoga aur us ke ahale bait us ke baas daulat honge aur agar dekhe ki kamar band lohe ya taanbe ki talwar se aaraasta hai thode chahe hue par daleel hai aur agar dekhe ki kisi ne us ko kamar band bama talwar bakhsha hai daleel hai ki badshah ke liye safar karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kamar band dekhna chhah wajah par hai 1. baap ya bhaai khushiyon ki taraf se munafaat 2. farzand 3. buzurgi aur panah 4. umar daraz 5. insaaf aur muraad ka paana 6. deen ki pakeezgi aur agar kamar par kamar bandha hua dekhe daleel hai ki dushmanon se insaaf haasil karega lekin us ki nasaf us ki umar guzri hui hogi.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!