اسلام

khwab mein kahin jana


Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai- agar dekhe ke apne shahar se gaya hai aur maalum nhi hai ke kaha gaya hai? Daleel hai ke bechaara aur hairaan hoga’ aur agar us ke sath aurat aur farzand bhi hai – daleel hai ke sab hairaan oar pareshaan honge’ aur agar dekhe ke oont ki tarah chalta hai – daleel hai ke duniya me sa-adat payega’ aur agar dekhe ke darinde ki tarah chalata hai to us ki taawil bad hai’ aur agar dekhe ke bachcho ki tarah chalta hai – to bhi yahi taawil hai’ aur agar shikaari parindo ki tarah dekhe – to kher aur neki par daleel hai aur agar esa chale ke tariki se roshani ki taraf gaya hai – daleel hai raah-e-haq par aayega’ aur agar uzaad se aabadi ki taraf jaaye daleel hai ke tangi se faraakhi aayegi aur agar aabadi se viraane ki taraf jaaye – to awal ke khilaaf hai aur agar bari jagah jaaye to taawil bar hai aur agar nek jagah jaaye to kher aur neki par daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!