اسلام

khwab mein Kafan dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki kisi zinde ya murde ke liye kafan banaya hai agar woh maalum shakhs hai toh us se ranj pahunchne par daleel hai aur agar kisi maalum hai murde ka kafan us ne utara daleel hai ki duniya main us murde ke tareeqe ki talaash karega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki murde ka kafan phada hai ahale taabeer kahte hain ki agar sahibe khwab saleh aur parsa aur talibe ilm hai aur bareek batein kahta hai daleel hai ki duniya us ka rukh karegi aur maale haraam jama karega aur agar dekhe ki murdon ke kafan utara hai aur jagah ba jagah liye phirta hai daleel hai ki maale haraam us ke haath par rawana hoga aur agar sahibe khwabe mufsid hai daleel hai ki munafiq aur chughal khor hoga aur logon par fasad aur jhoot ki gawahi dega.

khwab main kafan satar aurat par dalaalat karta hai kabhi poshida aamaal par bhi dalaalat karta hai.

1. kunware ke liye ghair munasib rishta ki daleel hai.

2. agar kisi ne dekha ki kafan pahna hua hai toh ishara hai woh zina ki taraf maail hai.

3. agar us ne kafan mukammal taur par nahin pahna hai toh use zina ki taraf madu kiya jaata hai aur woh us ko qabool nahin karta hai.

4. agar kisi ne apne aap ko murda ki tarah kafan main lapeta hua dekhe toh ye us ki maut ki daleel hai.

5. agar us kafan main us ka sar aur paaon nange hain toh ye us ke deen main fasaad ki daleel hai agar mayyat par kafan kam hai toh ye tauba ke qareeb hone ki daleel hai agar kafan ziyada hai toh ye tauba se door hone ki alaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!