اسلام

khwab mein Kaanch dekhna

Kaachi ek qism ka khana hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki us ne roghan kanjid aur roghan badaam ke saath kaachi khai hai daleel hai ki us ko usi qadar khair o munafaat haasil hogi aur agar dekhe ki roghan aur shahad ke saath khaai hai daleel hai ki usi qadar raahat payega aur agar dekhe ki roghan aur dahi ke saath khaai hai daleel hai ki kisi se us ko thodi munafaat haasil hogi aur agar dekhe ki tarash cheez ke saath khaai hai toh gham wa andwa aur andeshe par daleel hai.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ne sheereen cheez ke saath kaachi khaai hai daleel hai ki us ko aasaani se maal milega aur agar dekhe ki tarash cheez ke saath khaai hai toh tarash ke mutabiq gham wa andwa par daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!