اسلام

khwab mein Kaaba dekhna

1. Khwab me kaaba dekhne ki tabeer khalifa aur wajir aur raees hai – ya daleel tazdis hai.

2. Kabhi khwab me kaaba me dakhil hona bedaari me usme dakhil hone par dalaalat karta hai – khwab me kaaba dekhna pesh hone wali ya aane wali shar ke dafa hone ki daleel hai.

3. Agar kisi ne khwab me kaaba me namaz padhi to us ko raees ya shareef imaam ka kurab hasil hoga aur dushman se maamun rahega – aur khair nasib hogi.

4. Agar wag bait allah me dakhil bhi hua to daleel hai ke khalifa ke paas jaaye.

5. Agar us se koi cheez li to khalifa se kuchh hasil karega.

6. Khwab me kaaba ki diwaaro me se kisi diwaar ka girana khalifa ki maut par dalaalat karta hai.

7. Agar koi kaaba me jaa kar kuchh bhi munaasik ada nahi kiya to tabeer hai wah allah ta-ala ke mukarrar kardah faraaiz kaayam karne ki haalat me marega’ ya tabeer hai ke apni kism ka kuffara ada karega.

8. Khwab me kaaba ki taraf najar karna darr se maamun hone ki daleel hai – agar us ko khwab me makka ka haakim banaya gaya to bedaari me us ko imaam ke mu-aamala ka aamir banaya jaayega.

9. Agar kisi ne khwab me kaaba se anaar churaya to wah apni kisi jee mahrum ke saath badnaam hoga.

10. Agar kisi ne dekha ke wah kaaba ki taraf jaa raha hai ya us ke saamane aa gaya to wah apni islaah karega.

11. Agar sahib-e-khwab maka me do ke sath hai aur wah us se sawal kar rahe hai to daleel hai wah badshaah ki maut mar jaayega.

12. Agar koi khwab me kaaba ko apne ghar ke andar dekhe to wah marate dam tak logo me kot wa shoharat aur khidaamo wala rahega.

13. Lekin kaaba ko buri shakal me dekhe to ye sahab manzil ke lie achha shagun nhi hai.

14. Agar kisi ne apne ghar ko kaaba paaya to wah imaam ke saath rahega kyuki kaaba musalaano ka imaam hai.

15. Agar kisi ne khwab me kaaba ke upar namaz padhata huwa khud ko dekhe to ishaarah hai wah islaam se murtad hoga.

16. Agar kisi ne haram se daakhil hokar kaaba ke upar namaz padi to wah kher payega aur dalaalat payega – aur har jagah se tax hasil karega magar bad mazhabi ke sath.

17. Agar kisi ne khwab dekha ke wah kaaba ke upar se chhalaang laga raha hai to daleel hai wah sunnat ki mukhalifat karega – aur ahal hawa ke mazhab me daakhil hoga.

18. Agar kisi ne dekha ke farishate ne asmaan se utar kar kaaba ke ko utha kar dusare shehar me rakh diya to agar shehar me fitanaa waakih ho to haakim waqat bhi usi me maujud hoga.

19. Agar kisi ne khwab me kaaba ko veeran dekha to daleel hai ke wah be namazi hai.

20. Agar kisi ne kaaba me kami jyaadati ya us ko apni jagah se hata hua ya us ko apne haal se mutgair dekha to tabeer imaam ke andar un haadsaat ke daku-a pajir hone se ki jaati hai.

21. Agar kisi ne apne aap ko kaaba ka tawaaf karte ya koi bhi mansuk ko ada karte dekha to bekadr munasik us ke deen ki islaah hogi.

22. Agar kisi ne khud ko kaaba ki taraf matu jah dekha to daleel hai ke wah apne deen aur duniya ki islaah ke lie koshish hai – ya daleel hai ke badshaah ki hukumat me shamuliyat ke lie koshish hai.

23. Agar kisi ne dekha ke us ne haj ke munasik me se kuchh kami ki aur sunnat ke khilaaf kiya to ye us ke deen ki tahrif ki alaamat hai jesa ke namaz me qibala se hat jaane ki tabeer bhi deeni tahrif hai.

24. Agar kisi ne apne ghar ke andar kaaba dekha aur wah badshaah ka khadim bhi nahi hai to daleel hai ke wah ek sharif aur ahal aurat se shaadi karega – aur kaaba namaz par bhi dalaalat karta hai is liye ke wah namaziyo ka qibala hai aur kaaba masjid ya jaamia masjid par dalaalat karta hai is lie ke wah ALLAH ka ghar hai aur un cheezo par bhi dalaalat karta hai jis ki iktadaa ki jaaye’ in ke zariye hidaayat mile jesa ke islaam aur qur-aan paak aur sunne’ mashaf aur aalim’ waalid’ sardaar’ shohar’ waaldah wagerah – aur kaaba jannat par bhi dalaalat karta hai is lie ke wah baitullah hai aur us ko jannat me le jaaye jaayega kabhi is ki dalaalat haj ke muasam aur jama-at par aur istakbaal karne par bhi hoti hai.

25. Kisi ne khwab dekha kaaba us ka ghr ghar ban gaya to tabeer hai ke badshaahat ya ilm wa amalki wajah se log us ke doraaje ki taraf dorenge aur is me logo ka azdahaam hoga – yahi khwab agar gulaam dekhe to us ki aazadi ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!