اسلام
khwab mein Juzaam (bimaari) dekhna
Khwab me majzum hona bedari me gunaho ki wajah se ilm ke jaaya hone ki daleel hai. Aur kaud ki bimari ka badan me jyada hona baki rehane wala maal par dalaalat karta hai aur ba-aj ke nazadik meraas se milne wale kapdo ki alaamat hai. Khwab dekha ke wah juzaam ki bimari se me mubtala hone ki haalat me namaz padh raha hai to daleel hai ke wah qur-aan kareem yaad karke bhul jayega. Aur kabhi kaud ki bimari maal haraam par bhi dalaalat karti hai. Aur kabhi us se jalne ki taraf ishara hota hai. Aur kabhi ye maaldar hone par bhi dalaalat karti hai.