اسلام

khwab mein jurab dekhna

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya ke khwab me juraab agar rakhi hui dekhe to rakhi maal hai aur agar pehni hui dekhe to safar hai.

Aur agar khwab me juraab pehne hue dekhe ke jisse musafir bayabaan ka iradaa karte hai aur us ke sath koi rafik aur tausheha nahi hai to daleel hai ke duniya se bahut jaldi rahlat karega

Aur agar dekhe ke apni juraabe farukhat kami ya kisi ko bakhash de to us se daleel hai ke us ka maal jaayi hoga.



Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke juraab khwab me dekhna 3 wajah par hai

1. awwal maal daulat

2. dom safar

3. maut us ke lie jo tanha safar ka irada karke jangal ko jaaye,



Juraab

Iski tabeer maal aur bachao se ki jaati hai-

1. Khwab me khud ko juraab ko pehante hue dekhna maal ko bachane ki daleel hai aur sahib-e-khwab ki waaldah agar zinda hai to iski tabeer uske sath hizrat parne se ki jaati hai

2. Agar uski waaldah zinda nhi hai to ye apne waalid ki nafi karne ki alaamat hai.

3. Khwab me achhi bu wali nayi juraab dekhna sathi ka zak-aat ki adayegi ke jariye uske maal ki hifaazat karne ki daleel hai aur uski achhi sohrat hogi.

4. Purani juraab dekhna adam adayegi zak-aat ki wajah se maal ke halaakat ke dahaane par pahuchane ki alaamat hai.

5. Badbudaar juraab dekhna bari shohrat ki daleel hai.

6. Juraab ki tabeer khadim’ aurat aur baandi bhi hoti hai.



Juraab

1. Khwab me Juraab dekhna raaz ki hifaazat karne wale par dalaalat karta hai.

2. Ba-aj aulam-a ka kahna hai ke juraab ki tabeer khajine amwaal aur chizo ke muhafiz hai.

3. Aur kabhi juraab dekhne safar aur ese wald par jisko kandhe par uthaya jaata hai dalaalat karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!