اسلام

khwab mein Joshan dekhna


Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me joshan ka pehanna bekadr us ki roshani aur paakizagi ke pushat wa panaah hai – agar dekhe ke us ke paas joshan hai – to daleel hai ke wah aur us ki ahal-e-bait dushmano ke shaur se aman me rahega.

Aur agar dekhe ke us ne joshan pehana hua hai to daleel hai ke us ke jism ka kila dushmano ke shaur seaman me rahega aur wah is par jafar yaab na honge.

Aur agar dekhe ke us ke paas joshan ke sath aur bahut se hathiyar bhi hai – to daleel hai ke munaafik ke makar aur aam logo ki sharaarat se aman me rahega.

Aur ba-aj ahal tabeer ne bayaan kiya hai ke khwab me joshan dekhne wale ke deen ki jiyadati hai jo shakhas khwab me joshan dekhe daleel hai ke poshidah tor par haq ta-ala ki hifaazat me rahega.

Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me joshan ka dekhna 6 wajah par hai.

1. Bujurgi.

2. Panaah.

3. Kaut.

4. Maal.

5. Jindagaani.

6. Deen ki jiyaadati

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!