اسلام
khwab mein Joo dekhna
Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar khwab me dekhe ke us se joon ko maara hai daleel hai ke dushman ko maglub kareaga.
Aur agar dekhe ke namalum joon hai daleel hai ke us ka dushman jayeef hoga aur agar dekhe ke us par bahut se joon jama hai aur us ko kaatate hai daleel hai ke log us ko taana denge ya us ke maal ka nuksaan hoga aur agar dekhe ke joon logo ka khoon peeti hai to khun ki taawil maal hai.
1. Khwab me joon dekhna maal wa duniya ki daleel hai’ aur agar nayi kameez me joon dekhe to hukmaran ke liye tazdid ahadah ki daleel hai – esa maal milne ki alaamat hai jis ki jiyaadati ki umeed ki jaati ho.
2. Agar joon purani kameez me hai to is karz ki daleel hai jis ki jiyaadati se darr ho.
3. Khwab me zameen par joon dekhna kamzor kom ki daleel hai – agar wah joon sahib-e-khwab ke aas paas chal rahi hai to kamjor logo ke sath us ka rahan sahan hoga – agar ye un ko na pasand karta hai to ese dushman ke daleel hai jo us ko takleef pahuchane par qaadar nahi hai.
4. Joon agar us ko kaate to daleel hai ke wah kamzor logo par ta-an karega.
5. Agar kisi ne khwab me joon dekhi ke wah us ke sine se gir rahi hai to us ka majadur ya gulaam ya ladka bhaag jaayega.
6. Agar kisi ne dekha ke us ka jism se ek badi joon juda huwi hai to uski zindagi khatam hone ki daleel hai – ba-aj ne kaha hai joon ki tabeer aurat’ khuddam’ nauzjawan ladaki’ ladka’ marz’ fauz aur fauzi’ dushma’ badshaah aur gulmaan se karte hai – badshaaho ke liye joon gulaam aur fauz aur wajra ke liye khuddam police ke lie madad gaar’ aulama ke liye shaagird’ aur taaziro ke liye laalach ki daleel hai – aur marizo ke liye taweel bimari ki alaamat hai.
7. Agar kisi ne ek joon ko kaata to wah apne ahal-o-ayaal ke sath achha bartaaw karne wala hai.
8. Agar kisi ne dekha ke usne jinda joon ko phenk diya hai to wah khilaaf sunnat kaam karega – HAZARAT MUHAMMAED SALALLAH-HU-TA-ALA-ALEH-WA-SALLAM ne esa karne se mana farmaya hai.
9. Agar kisi ne khwab me joowo khaya to wah majkurah afraad ki geebat karega.
10. Jyada joonwe dekhna azaab ki alaaamat hai – aur joon ki tabeer ahal wa ayaal aur past darjaah kaum’ chugal khor aur ese faasid log hai jo rishtedaaro aur bhaaiyo ke darmiyaan phoot daalte ha.
11. Agar kisi ne apne kapado par bahut si joonwe dekhi to uski tabeer bhalaayi nemat aur barkat aur tamaam gamo se khulaasi se ki jaati hai – aur bahut se joonwe dekhna taweel marz aur nafaak aur fikr ki daleel hai – aur un ko qatal karna gamo se nizaat aur jis sakhati me mubtalaa hai us se khulasi ki daleel hai.
12. Kisi ne khwab me kapado se joonwo ko ghiraya to daleel hai ke us ki taraf fahash kism ka jhut mansoob hoga.
13. Agar kisi ko khwab me joonwo ne kaata to ek kamzor kaum us par tohamat lagayegi – joonwe kisi ko kaate to daleel hai ke is se karz ka mutalba kiya jaayega – aur khwab me joonwe dekhna ajaab hai – is liye ke ye hazarat musaa ke mauzajat me se hai.