اسلام
khwab mein jhumka dekhna
Gushwara jhumka – kaan ka jewar hai – hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai – agar koi khwab me dekhe ke us ke dono kaano me gushware hai – daleel hai ke us ki aara-ish jibaa-ish pehle se jyada hogi’ aur agar dekhe ke us ke dono kaano me besh keemati jhumke latake huwe hai – daleel hai ke ilm aur qur-aan majid sikhega aur aalim hoga’ aur agar ek kaan me jhumke dekhe aur dusre me na dekhe – daleel hai ke sahib-e-khwab ilm aur qur-aan majid sikhega.
Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke – agar dekhe ke us ke paas do jhumke hai – daleel hai ke izzat aur martabaa paayega’ aur agar dekhe ke us ki aurat kaano me do baaliya rakhti hai – ek sone ki hai aur ek chandi ki hai – daleel hai ke aurat ko talaak dega.
Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me jhumke dekhna 4 wajah par hai.
1. Farzand khubsurat aur aarayish.
2. Ilm aur qur-aan majid sikhana.
3. Bujurgi.
4. Aurat ko talaak de kar gam pana.