اسلام

khwab mein Jama (libas) dekhna

Hazarat daniyal aleh-isalaam ne farmaya hai ke khwab me kapada kasab aur mard ka kaam hai – agr apne kapade achhe dekhe to daleel hai ke us ka kasab aur kaam bada hoga.

Aur agar badshaah khwab me apne kapade siyaah dekhe to us ki nek haal ki daleel hai aur agar

aur zard kapde khwab me bimari hai aur surkh kapada khwab me khushi hai aur taufik taa-at hai – daleel ye hai ke sabj kapada bahashtiyo ka hai – wah bhi achha hai – farmane haq ta-ala hai (un ke upar sabj resham ke jaaye hai).

Aur safaid kapada khwab me dhoya hua dekhna aadami ke kaam ke banne ki daleel hai aur nila kapada nuksaan ki daleel hai aur jalaa hua kapada auratao ki daleel hai – jo badshaah ke baa-as se hai’ aur fata hua kapada darweshi aur tangdasti ki daleel hai aur pashmine aur numade aur taat ka kapada maal aur muraad ke haasil hone ki daleel hai chithade laga hua kapada durdeshi aur tangdasti ki daleel hai’ aur mela kapada khwaah kisi kism ka ho’ andawa aur gam ki daleel hai aur kaagazi kapada malaamat aur badi ki daleel hai aur chopaayo ke pust ka jamaa kher aur munfiyat ki daleel hai aur be-darj kapada kafan ki shakal par daleel hai ke us ke deen ke kaam pure ho gaye hai – lekin us ki umar bhi aakhir ko pahuch gayi hai’ aur agar dekhe ke gadhe ka chamada pehana hua hai to daleel hai ke izzat aur martaba payega.

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi dekhe ke sardari ke kapade pehne huwe hai agar wah us kapade ka ahal hai to daleel hai ke us ka kaam kaumi hoga’ aur agar dekhe ke wajarat ka libaas pehne huwe hai to daleel hai ke maal bahut payega – lekin logo se mulamat dekhega’ aur agar dekhe ke darbani ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke bujurgo ki ataao se mehroom rahega’ aur agar dekhe ke shahi madadgaar ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke koi usko ataa pahuchane me madad gaar hoga’ aur agar jallad ki poshaak pehane huwe dekhe to daleel hai ke naf-a payega’ aur agar dekhe ke nimbardaar ki poshaak pehane huwe hai to daleel hai ke ba-amaanat aur zabaa aawar hoga aur logo ke jaruri kaamo me mashgul hoga’ aur agar dekhe ke jufiyo ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke us ka deen jyaada hoga ‘ aur agar dekhe ke jaahido ka libaas pehane howe hai to daleel hai hai ke ba-amaanat hoga – aur agar dekhe ke saudargar ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke uska duniya ka kaarobaar nek hoga’ aur agar dekhe ke ahale salaah ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke us ka deen salaah par hoga’ aur agar dekhe ke ahale fasaad ka libaas pehane huwe hai to gam ko daleel hai aur agar dekhe ke majadur ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke fikr mand hoga.

Aur agar dekhe ke tabeeb ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke us ka kaam nek hoga aur logo me mashahoor hoga.

Aur agar koi shakhas dekhe ke yahudiyo ka libaas pehane huwe hai to dalee hai ke kisi ko makrooh hilaah se bilaak karega aur us ka sar anjaam badi hoga.

Aur agar dekeh ke isaiyo ka libaas pehane huwe hai to su se daleel hai ke esa kaam karega jis ke baa-as dost se aman me na hoga.

Aur agar dekhe ke paadariyo ka libaas pehane huwe hai to us se daleel hai ke wah bad-ati hoga aur us ki rikbat kufar aur gumraahi ki taraf hogi.

Aur agar dekhe ke us ke paas aatish-parasto ka libaas hai to daleel hai ke us ki rikbat bad deeno aru jaahilo ki taraf hogi’ aur agar dekhe ke sipaahiyo ka libaas pehane huwe hai to us se daleel hai ke us ki kisi ke sath adwat hogi.

Aur agar koi shakhas dekhe ke us ke paas kisi murtad ka libaas hai to daleel hai ke us ko koi shakhas cheez de kar wapas lega.

Aur agar dekhe ke us ke paas boot parast ka libaas hai to daleel hai ke kisi badshaah ua ameer ki khidmat me mashgool hoga aur agr dekhe ke aurat ka libaas pehane huwe hai to daleel hai hai ke apane bujurg se dur hoga’ aur dekhe ke jail walo ke kapade pehane huwe hai hai to daleel hai ke kisi kaam ke lie gamgeen aur haazat mand hoga.

Aur agar dekhe ke nakhuda ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke us ko kisi maslahat se halaal ki rozi pahuchegi aur agar dekhe ke kasaab ka libaas us ke paas hai to daleel hai ke us ko nuksaan pahuchega.

Aur agar dekhe ke usne baashakwah libaas pehana hai to daleel hai ke aurat ke sath raasati se sohabat na rakhega.

Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi dekhe ke us ke paas naya kapada hai aur dhobi ki dhulayi huwa nahi hai to neki ki daleel hai aur tang kapada dekhna aur kora kapada dhobi ke dhule se behatar hai aur zurbfat ka jamaa akal-mand aurat aur daana kaniz hai.

Aur chadar ka kapada dhaari daar kher-o-munf-at hai’ aur naa-alum rassi ka kapada kode ka jakham ya sakhat gam hai jo usko pehanega aur mukrad kapada talab kiya hua maal hai.

Hazarat jabeer magaribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke jaaama dekhane ki taawil 2 tarah par hai – ek ka taaluk deen se hai aur dusare ka taaluk duniya se hai – aur safaid kapada deen hai aur kapada naya dastaar ka duniya hai – agar koi dekhe ke us ke paas naya safaid pakiza kapada hai to duniya aur deen dono ke liye behatar hai ‘ aur agar libaas mota aur tang dekhe to ye deen-o-duniya dono ke waste bura hoga aur agar kapade ko maila aur chhota huwa dekhe to ye bhi fasaad dee-o-duniya ki daleel hai ‘ aur surkh kapada aurato ki duniya ke liye nek hai aur mardo ke liye bhi nek hai.

Aur ba-aj ahal tabeer ke najadeek siyaah kapada khateeb aur quazi aur badshaah ke liye achha hai aur ri-aaya ke liye gam’ aur nila kapada gam aur musibat hai.

Agar koi dekhe ke us ke paas rangdaar kapada hai – sabz aur surkh aur zard to daleel hai ke badshaah ya us wilaayat ke haakim se esi baat sunega jo use bhali na malum hogi.

Hazarat ismaail ash-as rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi khwab me dekhe ke us ke paas kapada dono taraf se do rang ka hai – to daleel hai ke ahale duniya aur ahale deen ke sath jilat se jindagi basar karega’ aur agar dekhe ke apna kapada khata hai to daleel hai ke apne maal me se bahut kuchh karch karega’ aur agar dekhe ke fata hua kapada pehana huwa hai to daleel hai ke safar me rahega – ya ksi kaam ke liye usko kaid khane me le jayenge’ aur agar dekhe ke uska jaama jaaye huwa ya us se kisi ne liya aur khud barhana raha hai – to daleel hai ke us ki izzat aur martaba kam hoga aur jaleel hoga’ aur agar dekhe ke apna kapada faada hai to daleel hai wah gummaak hoga aur apni aurat se jhagada karega.

Aur agar dekhe ke us ka kapada fata hua hai to daleel hai ke aurat se judaa hoga’ aur agar dekhe ke apane kapade ko ya apane ahale khana ke kapade ko momi karta hai to daleel hai ke us ka apne khawesh se jhagada padega ya dost se ladega aur agar dekha ke uska ka kapada kisi ne chhina hai aur wah nanga rah gaya hai to daleel hai ke izzat aur martabe se girega’ aur agar dekhe ke tah lage huwe kapade ko khola hai to daleel hai ke safar ko jayega’ aur agar dekhe ke khule kapade ko lapetata hai to daleel hai ke uska gaayab shakhas safar se waapas aayega.

Agar dekhe ke aurato ka libaas pehane huwe hai to daleel hai ke uska maal jyada hoga lekin bahut khauf laal haq hoga aur ek kol ke mutabik us ko gam aur behurmati hogi’ aur agar dekhe ke mardo ka libaas rakhata hai to daleel hai ke usko kher-o-nemat hasil hogi’ aur khwab me libaas ka paan safar ki daleel hai aur jaama ke tol aur arz ke mutabik safar ki mudat hogi aur agar dekhe ke jaame ko tamaam kar diya to daleel hai ke gam se nizaat payega.

Hazarat asfahaani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me sab jaamo se behatar suti jaama hai – jisme resham aur abresham na ho aur suti anaabi libaas ya resham ka libaas dono maale haraam aur fasaade deen ki daleel hai.

Aur jaama dibaaye hareer aur abresham ka mardo ke liye bura hai aur aurato ke liye achha hai aur purana kapada badshaah ki taraf se gam hai’ aur agar koi khwab me purana kapada beche to nek hai’ aur agar purana kapada kharide to bad hai aur purana libaas pehanna bura hai aur purana kapada jism se utaarna achha hai.

Hazarat jabeer magaribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi khwab me dhula huwa kapada pehane to dukhar ki daleel hai aur agar mela kapada dekhe to darwesh hoga aur agar khwab me dekha ke usne rangin kapada pehana hai to aurat aur sipaahi ke lie nek taawil hai aur agar dekhe ke azib rang ka libaas pehane rakha hai to daleel hai ke koi makruh baat uske aage aayegi.

Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke naya kapada khwab me dekhna 4 wajah par hai.

1. Aurat.

2. Badshaah.

3. Maal.

4. Kher-o-mufa-at.

Or ye bhi farmaya hai ke agar khwab me koi shakhas dekhe ke wah apana makraaz se katarata hai to daleel hai ke us ko koi cheez pahuchegi’ aur agar dekhe ke choro ne us ke kapade nikaale hai to daleel hai ke us ki aurato ke darmiyan fasaad barpaa hoga.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!