اسلام

khwab mein Imarat Banana


1. nai imarat dekhna duniyawi faaida milne ki nishani hai.

2. kabhi banai ki taabeer apni ahliya ke saath shab bashi se ki jaati hai koi bhi taameer aurton ke maamle par dalaalat karti hai.

3. kisi ne dekha ki us ke ghar ya us ka kamra ki wasaat khubsoorat andaaz se hui hai toh ye duniyawi kashadgi aur khushali ki alaamat hai.

4. taameer apni meqdaar se muttawiz hote hue dekhna logon ki ijaazat ke gager kisi ghami ya khushi ke moqe main daakhil hone ki taraf ishaara hai.

5. kisi ne dekha ki woh makaan bana raha hai. toh taabeer ye hai ki woh doston ko rishtadaron ya apni fauj ko ikhtta kar raha hai, aur sahibe khwab agr badshah hai toh us ki hukumat ki wapsi aur khushi aur quwwat aur maamle ki rifaat baqadre rifaat makaan wa mazbooti se taabeer ki jaa sakti hai.

6. kisi ne khwab dekha ki apne makaan ko ukhedh raha hai toh ye us ke doston ya rishtadaron aur qaum mai nafreeq ki aur hukumat ke zaail hone ki alaamat hai.

7. kisi ne dekha ki woh kisi aalim ke purane makaan ki tajweed kar raha hai toh us aalim ki seerat ki islaah karne ki taraf ishaara hai.

8. agar kisi zaalim ke makaan ki tajweedein kar raha hai toh us ki seerat ki islaah ki alaamat hai.

9. kisi ne khwab dekha ki us ne makaan banane ke liye buniyadein kho dein aur us ko banaya aur mazboot kiya toh apne maqsad main kamyabi daleel hai, yaani agar talib ilm hai toh ilm haasil karne main kamiyab hoga. ya hukumat ka taalib hai toh use hukumat milegi, ya koi hunar seekh raha hai toh us main kamiyab hoga.

10. kisi ne khaas ilaaqe main khud dukaan banate dekhe toh taabeer ye hai ki sahibe khwab us ilaaqe ya shahar main shaadi karega.

11. thikri se makaan banana, tazeein o riya ki alaamat hai.

12. khwab main keechad se makaan banana halaal rozi par dalaalat karta hai aur naqsh o nigaar wala makaan ilm aur wilaalyat aur khushi milne ki alaamat hai.

13. kisi ne dekha ki woh paki eeint se aur chhune se makaan bana raha hai toh taabeer ye hai ki sahibe khwab baatil kaam main munhamik hoga is liye chuna aur eeint ki taabeer baatil amoor se ki jaati hai.

14. khwab main chune aur eeint ka kaarobar haraam kaam main lagne ki alaamat hai.

15. kisi ne khwab main dekha goya ki woh ajnabi jagah main makaan bana raha hai toh us ki taabeer ye hai ki khwab dekhne wala ayesi aurat se nikah karega jis ka tajkera pahle kabhi nahin hua hai. kabhi yahi khwab ajnabi jagah main qayaam pazeera hone aur wahin intaqaal kar jaane par bhi dalaalat karta hai.

16. mitti ka makaan deen o yaqeen ki alaamat hai aur khushk mitti rurswai wala maal hai.

17. kisi ne dekha ki woh huzur aqdas sallahu alayehi wasallam ke mazaar mubarak ko mitti laga raha hai toh taabeer ye hai ki sahibe khwab apne maal se hajj karega.

18. apne makaan ko tar mitti lagana saleh hone ki alaamat hai.

19. mitti khana khai hui mitti ke baqdar hasoole maal ki alaamat hai.

20. khubsoorat imaarat ki ulfat o muhabbat, nasl, rizaq, achhe libas, aur kunwari aurat aur us ki aulaad se ki jaati hai.

21. mazboot makaan sahibe khwab ki quwwat o shiddat par dalaalat karta hai aur kabhi ek dusre ke saath masaarat o madad ki taraf ishara hota hai.

22. basa auqaat imaarat dekhna darazi umar ki alaamat hota hai.

23. kabhi imaarat ki dalaalat imarat banae wale par hoti hai.

24. kisi ne dekha ki woh allah ki raza ke liye masjid bana raha hai toh taabeer ye hai ki agar sahibe khwab badshah hai toh huq ko qaaim karega. aur umar bil maaruf wa nahi an al munkar karega aur agar khwab dekhne wala aalim hai toh ayesi kitaab tasnneef karega jis se logon ko bahut nafaa hoga. agar sahibe khwab maldar hai toh apne maal ki zakaat adaa karega aur agar gair shaadhi shuda hai toh us ko shaadi naseeb ho jaayegi agar shaadi shuda hai toh aulaad ki daulat se sarfaraz hoga. aur us ka zikar kher duniya main phail jaaega aur agar yahi khwab faqeer o muhtaaj aadmi dekhe toh woh ghani o maaldar hoga ya masjid ki khidmat karega aur tilaawat aur aamaal saleh ke zariye masjid ko aabaad karega ya kisi gunah ka murtakib hai toh us se tauba karega aur hidaayat yafta hoga aur us khwab ki taabeer shahadat ki maut se bhi ki jaati hai aur kabhi ye taabeer makaan ke banane wale ke liye chahe hai khud sahibe khwab hai ya kisi dusre ko banate dekhta hai kisi achhai par dalaalat karti hai masjid banane ki mazkura taabeeraat us waqt hogi. jab sahibe khwab masjid ayesi cheezon se banai jin se amooman masjid nahin banai jaati ya bager mahraab ke ya khilaaf samt qibla masjid banai toh taabeer kher ke jagah sar se ki jaaegi.

25. khwab main qibla dekhna ya banana rifaat shaan ya badhe logon main shaamil hone ki taraf ishaara hai.

26. kisi ne dekha ki woh khwab main hauz ke kinare durust kar raha hai toh taabeer ye hai ki woh apne walid ka adab o ahtraam karega.

27. kisi ne badal par qibla banaya toh ye quwwat haasil karne ka ishaara hai.

28. khwab main dekha ki aasmaan main aur zameen main us ke liye qibla numa makaan banaya gaya toh daleeln hai ki us ke aamaal durust hoge aur shahadat ki maut naseeb hogi.

29. khwab main hamaam banana kisi aurat se zafaaf ki taraf ishaara hai.

30. mareez aadmi ka khwab main apne muhndam ghar jis ke anhdaam ka waqt maalum na ho dekhna mustaqil sahatyabi ki alaamat hai.

31. kisi ne dekha ki us ke baap ne makaan banaya aur sahibe khwab ne us ko buland kiya toh taabeer ye hai ki sahibe khwab apne walid ke mishan (duniyawi ya aakhirwi) ko pura karega. aur us ko mazboot karege.

32. kisi ne khwab dekha ki kaam karne wale us ke makaan ko bana rahe hain. toh taabeer ye hai ki sahibe khwab ki apni beewee se ladaai hogi apne kisi dost se judaai hogi. ya usi qism ka aur koi waqia pesh hoga.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!