اسلام

khwab mein ilm hasil karna


1. khwab main quraan ki taalim haasil karna ya hadees ki taalim haasil karna ya likhna ya hukumat ki koi baat koi baat haasil karna ya kisi fan ki taalim haasil karna faqar ke baad ghauna aur gumrahi ke baad hidaayat yaafta hone par dalaalat karta hai.

2. ghair shaadi shuda shakhs ye khwab dekhe toh us ki shaadi hone ki taraf ishaara hai ya us khwab ki taabeer beta naseeb hona hai.

3. kabhi us khwab ki taabeer ayese nek shaskhs se ki jaati hai jo us ko huq ki taraf rahnumai kare.

4. chori ya fahash ya kufar ka ilm haasil karna hidaayat ke baad gumrah hone ki aur maaldari ke baad faqar hone ki ya maaldaron ke tareeqe par chalne (alayaaz baa allah) ki alaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!