اسلام

khwab mein Goz Maarna


1. uski taabeer fazul goi ya guzar marne wale par nazule azaab ki daleel hai.

2. aur guzar marna jamaaton ke mutfariq hone buri khabar aane par bhi dalaalat karta hai aur uski dalaalat hamaamat par bhi hoti hai aur kabhi uski dalaalat jhoot fahash goi ya peette waqt ki aawaaz par bhi hoti hai.

3. khwab main aawaaz ke saath hawa kharij karna baidaari main buri buri baatein karne par dalaalat karta hai.

4. kisi ne khwab dekha ki woh logon ke majma main hai aur bila irada us se hawa kharij hui toh taabeer hai ki gham wa tangi se kashadgi ki taraf aayega magar us main kuch mashakkat hogi.

5. agar ba irada jaan bujh kar zordaar aawaaz se hawa kharij ki aur us se badboo bhi phail gai toh taabeer hai woh koi qabeeh kalam bakega ya daleel hai woh ayesa nasaista kaam karega jis se usko baqadar badboo badnuma hogi aur baqadar aawaaz uski burai hogi.

6. agar us main badboo baghair aawaaz ki ho toh ye daleel hai baghair tashbeea ke buri shohrat ki.

7. kisi gham main mubtala qaum ke darmiyan khwab main hawa kharij karna us gham se nijat pane ki taraf ishara hai.

8. agar sahibe khwab tajir ho toh tijarat main munafa kamaiga aur gar tangi main ho toh aasaani hogi.

9. ba mushkil hawa kharij karna ayesa kaam karne ki taraf ishara hai jo us ke bas se bahar ho.

10. sahulat ke saath hawa kharij karna kisi kaam ko aasaani se surakh anjam dene ki daleel hai.

11. kisi ne dekha ki woh hawa kharij karna chahta hai aur hawa uske irade ke mutabiq kharij bhi ho gai toh taabeer hai woh apne safar main izzat wa rifaat payega magar us ke kaam mutafariq honge aur uske gham door honge aur saheeh saalim safar se wapis ayega khwab main barasta hawa kharij karna kalam main laghjis karne ya uske muh main koi aafat aane ki daleel hai jiski wajah se woh bad numa lage.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!