اسلام
khwab mein Girja , Rahib Ki Jhaunpri ka Dekhna
1. us ki dalaalat khilwat husne seerat izzat o inqitaa par hoti hai lazzat ko tark karne beewiyon ko talaaq dene aur bhaiyon se judai ikhtiyar karne par bhi dalaalat karta hai aur kabhi gurja dekhna amraaz makulaat o mashrubat main se pasandeeda cheezon ko tark karne ki taraf bhi ishara hota hai.
2. mareez ka khwab main girja dekhna us ke marne aur lazzat ko tark karne par dalaalat karta hai.
3. khwab main girja banana martaba ke buland hone ki daleel hai.
4. khwab main naya aur khubsoorat girja dekhna beewi par dalaalat karta hai aur qile par bhi dalaalat karta khususan agar badshah dekhe aur kabhi us ki ruiyyat badshah ke liye apne dushman par ghalib hone ki basharat hoti hai kabhi girja dekhna safar aur wahshat aur doston se judai ki alaamat hota hai aur suma ki dalaalat raees aur sultan par bhi hoti hai aur girje ka girna munhadam hona ya kisi aur tarah hadsah waqe hona us shakhs ke un haadsat ka shikar hone ki daleel hai jo girje se muabbir hain.