اسلام

khwab mein Ghull (lohe ka tauk)

Ghull
Ghull (lohe ka tauk)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ghul kufar hai aur us ka meelan nahuq hai agar dekhe ki us ki gardan man ghul hai daleel hai ki kafir ho kar marega aur agar dekhe ki us ka ghul kutte ke gardan se bandha hua hai daleel hai ki munafiq hoga aur agar dekhe ki us ki gardan main ghul se aur paaon main byedhi hai daleel hai ki kafir hoga aur musalmani ka jhoota daawa karega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ke haathon main ghul hain toh us ke bukhal par daleel hai farmane huq taala hai “aur yahudiyon ne kaha ki allah ka jhada hua hai un hi ke haath jhagde jayenge aur un ke kahne par lughat hai” aur ghul se maqsood bukhal hai.

hazrat ibn abbas radi allah taala anho ne farmaya hai ki ahal taabeer kahte hain agar salih aadmi gardan main ghul dekhe daleel hai ki bure kaam se dast bardar hoga.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!