اسلام

khwab mein ghora dekhna


Us ke baare main mufassil guftagu harf khai ke bahas khail ke tahat guzar chuki hai.

1. khwab main ghoda dekhna wasat rizaq aur dushaman par madad ki daleel hai.

2. agar khud ko ghode par sawar dekhe aur us main uski liyaqat bhi ho toh maal izzat aur martaba ki daleel hai kabhi uski taabeer ye bhi hoti hai ki kisi sakhi aadmi se mulaqat hogi kabhi us se muraad bhi hota hai ghoda dushman se hifazat khubsoorat aulaad aur matusat tarz zindagi par bhi dalaalat karta hai.

3. agar khud ko ghodi par sawar dekhe toh daleel hai ki maaldaar hasab nasab wali sayyad khatoon se shaadi karega.

4. khwab main aseel ghoda ba nisbat ghair aseel ghode ke behtar hota hai ghoda mazboot bunyad wale makan par bhi dalaalat karta hai.

5. siyah ghoda gham.

6. taangon main safedi wala ghoda deen parhez gaari aur ilm par dalaalat karta hai.

7. jabki surkh siyah rang ka ghoda dekhna sharab peena hai.

8. agar koi shakhs kisi dusre ki sawari par sawar hai toh apni manzil maqsood haasil karega bil khusus agar kisi mashoor sawari par sawar hua aur uski liyaqat bhi rakhta ho.

9. ghodi ki dalaalat beewi par hoti hai.

10. agar khwab main ghodi se utra us par saheeh taur se sawari nahin kar sakta ya uski lagan ko kheencha dheela chhod diya toh daleel hai apni beewi ko talaaq dega.

11. agar dekhe ki ghodi se sirf kisi zaroorat ke tahat utra hai agar zeen samet utra hai toh uski aurat khaiza hogi aur ye us se parhez karega.

12. agar ghodi se is liye utra ki dusri ghodi par sawar hoga toh ishara hai pahli beewi par dusri shaadi karega ya dusri sawari ki baqadar us se door hoga.

13. agar dekhe ki ghodi se utar kar kisi pyada ko dedi hia ya ghodi se utarte hi zameen par khoon ka paishab kiya hai toh ishara hai ye aadmi beewi se zina karayega.

14. ghodi maal ke aqad par maal dar aur achhi shohrat wali khubsoorat aurat par khushi aur nasht par aur deen wa taqwa par dalaalat karti hai.

15. agar dekhe ki baghair zameen aur baghair lagam ki ghodi par sawar hua hai toh be asmat aurat se shaadi karega ya be faaida kaam main mubtala hoga.

16. siyahi mala safed rang ka ghoda badshah par daal hai.

17. ayese ghode par sawar hona deendar khatoon se shaadi karna hai.

18. agar ayesa ghoda mateea hai toh daleel hai ki beewi bhi ataat guzar hogi.

19. kaala ghoda izzat ki daleel hai.

20. agar ghoda bama zaeen baghair rakaab ke dekhe toh aurton ke matam aur ars ke liye jama hone ki daleel hai ki kabhi us se muraad oont ke kajawe bhi hote hain.

21. agar koi shakhs dekhe ki ghodon ki ek badi taadaad ka maalik bana hai ya nahin chura raha hai toh woh kisi qaum ka wali banega.

22. ghode ko khwab main dekhna bhaiyon main maqbool hone ki bhi daleel hai khwab main ghoda sawar aadmi baite ya taajir ya kaam main shareek aadmi par daal hai.

23. agar dekhe ki us ka ghoda us ke haathon ya us ke ghar main halaak ho gaya toh ghar amin fautgi ki daleel hai.

24. agar taangon main safedi wale ghode par sawar hua hai aur woh ghoda kharman kharaman chal raha hai neej sahibe khwab ayese libaas main mabloos hai jo sawari ke laaik hai toh use izzat sharafat aur logon main maqbooliyat haasil hogi aur duhsman ayese aadmi ko nuqsaan nahin pahuncha sakega.

25. agar ghode apr jam kar baithe toh achhi seerat ki daleel hai.

26. agar sahibe khwab taajir hai toh us ke sahibe amanat aur mutmaeen zindagi guzar ne ki daleel hai.

27. agar ghoda siyah rang ka ho toh mazeed qadar o sharafat aur azeem saltanat ki naweed hai surkh siyah rang ka ghoda kasrat lahu laab bahut zyada ladai jhagde aur qatal o gharat giri ki daleel hai.

28. agar ghoda safed siyah rang ka hai toh daulat aur shohrat aur tamanna hasool hai.

29. agar ghode par sawar ho kar eed lagai aur ghode ka paseena tak aaya toh daleel hai ki ayesa aadmi apni khwahishat ki perwi karega aur gunahon main mubtala hoga kyonki paseena maasiyat main mubtala hone ke sabab hota hai.

30. agar hamila aurat khud ko ghud sawar dekhe toh us ke haan muzakkar bachcha paida hoga.

31. ghode ko door se dekhna izzat basharat aur bhalai ki naweed hai.

32. khwab main ghode se utar kar use khula chhod diya aur kisi kaam main mashgool ho gaya toh ruswai ke baad izzat ki daleel hai.

33. ghodi shareef aurat.

34. sarkash ghoda majnu mard.

35. sust ghoda kaamon main susti karne wala.

36. safed paishani aur safed dum wala bahut badi saltanat.

37. ahmaq aur sust ru ghoda badshah ki ladai aur dushman ki kamiyabi ki alaamat hai.

38. dum par zyada balon wala hona kasrate khidmat gaar hai.

39. agar apne ghode ki dum kati hui dekhe toh sahibe khwab ki maut aur maut ke baad zikar na hone ki daleel hai.

40. agar dekhe ki dum jad se kati hui hai toh uski aulaad aur us ke khidmat gaar us ke saamne faut honge.

41. badshah agar apne ghode ko apne saath jhagdta dekhe toh us ka nek ghulam ya us ka achha saala raas ke khilaaf baghawat karega.

42. agar taajir ayesa khwab dekhe toh uska shareek us ki mukhalifat karega.

43. ghode ka chhalang lagana kisi kaam main dilchaspi ki daleel hai.

44. ghode ka kudna apne maqsad ko jald paane ka ishara hai.

45. agar dekhe ki ghode ko lagam se pakad kar kheech raha hai toh kisi shareef aadmi ko khadim rakhega.

46. chhat waghaira ya kisi aur jagah khud ko ghode par baitha dekhe tab bhi kuch harj nahin baaz hazraat kahte hain ki ghoda shohrat aur mashoor badshah par bhi daal hai.

47. agar par wale ghode par sawar hua toh agar huzur sallallahu alayehi wasallam ke ahale bait main se hai toh sahibe khwab aazmaish main mubtala hoga aur agar sahibe khwab huzur sallallahu alayehi wasallam ke ahle bait main se nahin hai toh use azeem saltanat haasil hogi.

48. agar us ka ahtamam na ho toh woh kisi ladke ya aurat ke ishq main mubtala hoga aur woh uski ataat karega.

49. agar siyah safed rang ke ghode par sawar hua aur shaadi shuda na ho toh uski shaadi hogi.

50. agar badshah ke saath khud ko ghode ka gosht khate dekhe toh dushman par fatah payega.

51. agar taajir ayesa dekhe toh use munafaat haasil hogi baaz hazraat kahte hain ki fauji ya shareef aadmi agar khud ko ghode par sawar dekhe toh maal wa mansab haasil karne ki daleel hai.

52. kabhi kaale ghode par sawar hona safar aur safar main maal kharch karne ki alaamat hai.

53. ghode ko qatal karna maal quwat aur izzat ka husool hai.

54. khwab main ghodon ka udna badshahon main ladai aur fitna ka ishara hai.

55. khwab makn daryai ghoda baidaari main hawai parinda aur hawai jahaaj hai.

56. khwab main lohe ki taangon wale ghode par sawar hona maut ka ishara hai ghode se kabhi muraad maujaj badshah kabhi londi aur kabhi shareef aur aazaad aurat bhi hoti hai.

57. agar dekhe ki khwab main kisi ne use ghoda diya hai toh namaz se susti kar ke talab duniya main mashgool hone ki daleel hai albatta tauba ki ummeed hai.

58. jo shakhs khud ko nangi peeth wale ghode par baghair zeen wa lagaam ke betha dekhe woh kisi bade gunah main mubtala hai.

59. ek ghode se utar kar dusre ghode par baithna daunon ghodon ke darmiyan fasle ki baqadar ek haalat se dusri haalat main tabdeel hone aur ghair ke us mansab par faaiz hone ki daleel hai.

60. agar ghud sawar ko ghoda achha lage toh ayesa aadmi jihaad fi sabi allah karega.

61. agar dekhe ki ghode par sawar hai aur neej logon par uthaya hua hai toh ayesa aadi bhikari hai jo logon se bahut zyada chimat kar sawal karta hai.

62. agar khud ko ghode ke upar aslah uthaye dekhe toh jin logon par aslah uthaya hua woh us ke dushman hain jo apne makar se use koi nuqsaan nahin pahuncha sakte.

63. agar koi shakhs ghoda zibah kare ya use selaab baha kar le jaye toh ye mareez ki maut ki taraf ishara hai.

64. jo shakhs apne ghode ko kamzor binai wala dekhe toh uski mashiyat milawat ka shikaar hai.

65. jo shakhs khud ko murda ghode par sawar dekhe toh use hazan o takleef pahunchegi lekin jald chutkara haasil ho jayega.

66. ghode se baatein karna ajeeb kaam main mashgool hona hai.

67. agar koi shakhs ghode farokht kar ke naqdi haasil kare toh us ke kalaam se logon ko faaida haasil hoga kyon ki khwab main naqdi kalaam ki daleel hai.

68. apne ghode ko farokht karna apne kaam se ba akhtiyar taur par alag hona hai.

69. agar koi shakhs ghoda zibah kare aur uska gosht khane ka irada na ho toh uski mashiyat badshah asar andaaz hoga.

70. agar koi shakhs na maalum ghoda dekhe jiske malik ka ilm na ho toh us jagah koi shareef zi qadar aadmi ayega.

71. agar dekhe ki na maalum ghoda us jagah se nikla hai toh koi bada aadmi maut ke zariye ya safar ke zariye ilaqe chhodega.

72. agar koi shakhs kisi maalulm aadmi ke peeche ghode par sawar ho toh us aadmi ke zariye apne deeni ya duniyawi maqsad ko haasil karega ya phir us aadmi ka taabe shareek aur naaib hoga.

73. agar woh aadmi jis ke peeche baitha hai majhool ho toh har soorat main dushman hai.

74. agar koi dekhe ki sawariyon ne use ronda hai ya us par chali hain toh us ka nek laqab khatam hoga aur log us ke baare main buri baatein karenge.

75. agar koi shakhs ghodi par sawar hua ya use khareeda agar sahibe khwab ghair shaadi shuda hai toh us ki shaadi shareef aurat se hogi.

76. agar aadmi shaadi shuda hai ya ayesa hai ki jiski shaadi ho hi nahin sakti toh kisi jagah jayega jahan use maashi faaida hoga.

77. agar koi dekhe ki us ki ghode mar gai hai ya chori ho gai ya zaaya ho gai toh daleel hai yahi maamla us ki beewi ke saath hoga ya phir uski maashi bad haali ki daleel hai.

78. agar koi shakhs apni ghodi ko bachche deta dekhe toh uski mashiyat mustahkim hogi aur kasrat maal haasil hoga.

79. agar koi shakhs khwab main ghodi ka doodh piye toh badshah apna qurb ataa karega aur us se bhalai haasil hogi.

80. aur agar koi shakhs apne ghode ke kaseer baal dekhe toh kasrat maal wa aulaad ki daleel hai.

81. agar badshah ho toh kasrat lashkar ki daleel hai.

82. khassi ghoda khadim ki daleel hai.

83. baghair maqsood ke sawari zaani aurat hai is liye ki woh bhi jahan chahti hai aawara phirti hai.

84. kabhi ghode ka kamzor hona martaba ki kamzori ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!