اسلام

khwab mein Ghar zameen par dekhna

1. khwab main kisi ke ghar daakhil hona duniyawi maamlat main us par ghalib hone ki daleel hai.

2. khwab main agar kisi imame waqt ke ghar daakhil ho kar us main thahara aur mutmain ho toh badshah us ko apne khaas logon main daakhil karega.

3. kisi makan ke andar aadil badshah ka daakhil hona daleel hai ki us makan main nazule barkat wa nazule adal hoga.

4. zaalim badshah ka kisi ghar main daahil hona fasaad aur masaib ki alaamat hai.

5. lekin baidaari main agar us ka us makan main aana jaana ho toh khwab main us main daakhil hona koi nuqsaan daah nahin hai.

6. kisi ne khwab dekha ki woh jannat main daakhil hua hai toh daleel hai qayamat ke din inshah allah jannat main daakhil hoga aur ye khwab uske sabiqa ya baad main kiye jaane wale nek aamaal ki maqbuliyat ki basharat hai.

7. khwab main jahannam main daakhil ho kar us se nikalna gunahgaar ke liye tanbiya us ko chahiye ki tauba kare aur allah taala ki taraf ruju kare.

8. baaz ulma taabeer ka kahna hai ki khwab main jahannam main daakhil hona momin ho ya kaafir beemari aur faqar main mubtala hone ya qaid hone ki daleel hai bazaari qism ke logon ke liye ye khwab gunahe kabeera main mubtala hone ya kuffar wa fajir qism ke logon main daakhil hone ki taraf ishara hota hai.

9. baaz ki raye hai ki khwab main jannat main daakhil hona hajj ko jane wale ke liye hajj mukammal hone aur kaaba tullah pahunchne ki daleel hai.

10. kafir ke liye ye khwab musalman hone par dalaalat karta hai.

11. musalman mareez ke liye khwab main jannat main daakhil hona usi marz main faut hone ki taraf ishara hai.

12. kafir mareez ke liye yahi khwab beemari se shifa pane ki daleel hai.

13. ghair shaadi shuda ke liye shaadi ki aur faqeer ke liye ghani hone ki daleel hai aur kabhi meeras pane par bhi uski dalaalat hoti hai.

14. kisi ajnabi muqam par ghair maaruf tareeqe se banaye hue ghar main daakhil hona jis main rahne wale log bhi ajnabi hon aur woh ghar dusre ghar se juda bhi ho toh sahibe khwab mar jayega aur khaas kar agar usmaein jaane pahchane mard dekhe toh yahi taabeer hai.

15. us qism ke ghar main daakhil ho kar nikal jana qareeb ul marg ho kar nijat pane ki alaamat hai.

16. khwab main apne aap ko daar aakhirat main paana mareez ke liye duniya ke fitan o sharoor se bachkar us ki taraf muntaqil hone ki daleel hai.

17. sahat mand aadmi ka yahi khwab dekhna baqadar amal hajj ya jihaad duniya se be raghbati ibadat ilm sadqa suleh rahami karna aur masaaib par sabar waghaira ki basharat hai.

18. khwab main apne aap ko daar aakhirat main paana aur us ke ahawal ka mushahida karna nek shakhs ke liye ilmi kaam karne aur uski taaqat rakhne ki alaamat hai aur bekaari main maazrat ki bhi alaamat hai aur khauf zada ya maazum wa mahzoon ke liye khauf wa gham ke door hone ki daleel hai.

19. logon ke saath raabta rakne wale logon ke liye safar karne aur watan se juda hone ki taraf mayashshar hai.

20. kisi ne dekha ki woh daar aakhirat se dubara duniya ki taraf aaya hai toh daleel hai ki safar se apne watan aayega gunah main mubtala shakhs ke liye khwab main makka mukarrama main daakhil hona tauba ki alaamat aur kafir ke liye islam laane ki daleel hai.

21. ghair shaadi shuda ke liye shaadi ki basharat hai.

22. kisi se jhagda karne wale shakhs ka khwab main makka main daakhil hona dushman ke madde muqabil ladai main kamiyab hone ki daleel hai.

23. khwab main makka mukarrama main daakhil hona khauf se mamun hone par bhi dalaalat karta hai muqame ibraheem main daakhil hona khaif ke liye aman ki alaamat hai.

24. kabhi uski dalaalat badshahat jese mansabe jaleel par faaiz hone ya logon ko ilm sikhane ke liye tayyar hone apne walid ya walida ki meeras paane ki daleel hai.

25. khwab main baitullah ya masjid main daakhil hona kisi aurat ko nikah ki daawat dene wale shakhs ke liye azeem dahan ke saath daakhil hone ki daleel hai.

26. kabhi dakhul baitul haraam lahu wa laab ki taraf matuwajja hone aur halaal kamai par qudrat haasil karne aur taaqat rakh sakne ke bawajud haraam ki talab main rahne ki daleel hai khaas kar masjide haraam main baghair namaz ya kashaf aurat ke saath daakhil hona usi tarah masjide haraam main daakhil hona khauf se maamun hone aur waade ke sachcha hone ki daleel hai.

27. khwab main bazaar main daakhil hona talabe rizaq main bahut mahnat karne ki alaamat hai aur masjid main daakhil hona gunahon ko kam karne aur kaneesa main dakhil hona deen main fasaad waqe hone ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!