اسلام

khwab mein gari dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki gaadi par baitha hai aur gaadi khub chalti hai daleel hai ki sharaf aur buzurgi payega aur agar dekhe ki gaadi baghair bailon ke khadi hai aur woh gaadi main hai daleel hai ki ranj aur sakhti aur beemari main padega aur agar dekhe ki badshah ne us ko apni gaadiyon main se ek gaadi di hai daleel hai ki sahibe khwab badshah se martaba aur buzurgi payega.

hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main gaadi ka dekhna aath wajah par hai 1. wilayat 2. izzat aur martaba 3. bulandi 4. buzurgi 5. haibat 6. khushi 7. rifaat 8. kaamon main aasani.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!