اسلام
khwab mein Gajar dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main gajar gham wa andesha hai aur agar koi khwab main dekhe ki us ne gajar li hai aur khai hai daleel hai ki us ko bahut ranj pahunchega aur gham khayega.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki gajar sheereen hai toh thode gham par daleel hai aur agar gajar gosht main paki hui khaye toh munfaat par daleel hai jo ranj aur sakhti se haasil hogi aur baaz ahale taabeer ne bayan kiya hai ki khwab main gajar khana beemari hai aur bhuni hui gajar dekhna achha nahin hai aur bahtar woh hai jo khwab main gajar gosht main paki hui ho.
1. uski taabeer zabar o zar o tabeekh hai kisi ne dekha ki us ke haath main gajar hai toh taabeer hai ki koi mushkil uske liye aasaan ho jaayegi aur baaz ulma taabeer ki raye hai khwab main gajar milna ya us ko khana gham aur hazan hai lekin baaz ki raye ki khwab main gajar khana khair wa munafaat haasil karne ki alaamat hai aur kabhi uski dalaalat hasoole maqsad ki aasaani par bhi hoti hai.
2. kisi museebat main phanse hue shakhs ya kisi qaidi ka khwab main apne haath main gajar dekhna museebat se chhutkare aur qaid se khulasi ki daleel hai.