اسلام

khwab mein (eent) khisht dekhna

Khisht

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main eent maal jamaa aur ikhtta kiya hua hai chunanche har ek eent ke ewaz hazaar dirham muqarrar karte hain agar dekhe ki us ne bahut se eentein jamaa ki hain daleel hai ki us ka bahut saa maal jamaa hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ne deewar main se eent tarashi hai daleel hai ki deewar ke maalik ka maal lega aur agar dekhe ki eent ko paara kar diya hai daleel hai ki apne maal ko puraangada aur talf karega.

hazrat jaabir magribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki pukhta eent khwab main bari hai kyonki us ko aag pahunchi hui hai us wajah se ghamo andwah par daleel hai.

aazar (paki eent)

paki eent ki taabeer ek badhe munafiq aadmi se jaati hai aur kabhi us ki taabeer majusi alnasl aadmi se bhi ki jaati hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!