اسلام

khwab mein Chopaye Jangali (wahoosh) dekhna

Wahoosh – jangali chopaye – in me se jis kadar nar hai wah mardo par daleel hai aur jis kadar maada hai to aurato par daleel hai – hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai – agar dekhe ke wahoosh ka shikar karta hai ya kisi ne us ko wahoosh ka shikar diya hai to maal aur ne-amat aur ganimat par daleel hai aur uske gausht aur chamade ki bhi yahi taweel hai.

Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai – agar dekhe ke wahooshi jaanwar uske mati-a aur farman-bardaar hai jese ke hazarat sulaiman aleh-issalam ke the – daleel hai ke ek giroh ke jis ke islaam me khalal hai us ka taab-adar hoga – khas kar agar sahab-e-khwab paarasa hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!