اسلام

khwab mein Chintiya (Chinti,Chiti) dekhna

Hadrat Ibn -e sirrin rehmatullah aleh ne farmaya ke kide logo ka ambwa he. Agar koi dekhe ke chintiya kisi chij me akar band aur jama ho gaee he to dalil he bahut se log uske ghar me pahuchenge. Agar dekhe ke bahut se chunte uske ghar se nikle he. Dalil he uske ghar ke log dusri jagah tabdil honge.

Aur agar dekhe ke uper se bahut se chunte uske ghar me aa gaye he – dalil he chor uske ghar me ghusega.

Aur agar dekhe bahut see chintiya uske jism per jama ho gaee he ya muh se nikli he – dalil he bahut jaldi halak hoga.



Hadrat Jabar Magrabi Rehmatullah ne farmaya he -khwab me chunti kamjor dushman he.

Agar apne ghar me bahut se chunte dekhe – dalil he ki uski nasl bahut hogee– aur agar dekhe chunte uske ghar se bahar nikle he—Dalil he uski nasal bahut kam hogee.



Hadrat ismaeel Ashash rehmat ullah aleh ne farmaya he. Surkh chinti jaeef aur sat dushman par dalil he. Syah aur bade chunte chori ke maal aur ahle bait per dalil he. Aur agar dekhe chuntia uske ghar se bahar nikli he aur hawa me urti he.– Dalil he uske khaish safar se wapas ayenge.



Hadarat Jafar sadik rehmat ullah ne farmaya he ke chuntiya ka khwab me dekhna.. Tawil me sahabe khwab ke ahle bait he aur agar dekhe ke chuntiya us ke ghar bahar se nikli he –dalil he uske ghar ha haal pareshan hoga.



1) Khwab me dekhna ke chunti gin raha he ya padak raha he to julm wa adwan aur fitha lahaq hone ki dalil he

2). Aur Chunti ki Dalalat Adad ke aitbar se aulad aur foz , mal daraji umar per dalil he

3) Choti chunti ki Dalalat kamjor logo per hoti he.

4) Gair Maruf jagah se chunti ki amad Alamat be hisab Maal Dolat ki he.



5). Is ki dalalat haris wa kamjor logo ke ki jati he. Aur daraji umra aur ahle foz se bhi ki jati he.

6). chinti ko kisi me Gao me Dakhil hote dekhna us gao per foz ke dakhil hone ki dalil he.

7.) Kisi ke makan me mariz he aur khwab me us makan se chunti urati huee dekhe to mariz ka intekal hoga. Aur agar us ghar me mariz nahi he to kisi dusri jagah safar karne aur taklif me mubtala hone ka ishara hota he. Aur chunti ki dalalat khushhali aur rizk per bhi hoti he. Isliye ki chintiya us jagah mojud hoti he jaha unke liye rizk mojud ho.



8)Kisi marij ne khwab me dekha ki uske zism per chintiya rang rahi he to Ishara he uska intekal hoga.

9). Apne Ghar ye mohalle me bahut sari chuntia ko dekhna un jagaho ke rahne walo ne kasrat hone per dalalat karta he.

10. Ghar se mohalle se bahut sari chuntiyo ka nikalna uske rehne walo me amwat waqe hone ki dalil he

11. Khwab me chuntiyo ke par nikalte dekhna kasir foz me bahut sare fojiyo ke marne ki dalil he.

12. khwab me chuntiyo ki boli samjhana hukmran banne par dalalt karta he, Badalil waqeya hadrat suleman.

13. Chuntiyo ko ta-am ke sath ghar me dakhil hote dekhna. Us ghar me khair me izafa hone ki dalil he.

14. Chuntiyo ko ghar se khane ka saman laker bahar nikalte dekhna us ghar ke mohtaz hone ki dalil he.

15. Kisi ne khwab me dekha ke uske kan ya naak se ya kisi dusre Azu se chunti nikli he aur wo usse khush he to ye sahab khwab ke shahadat ki mot marne ki basharat he.

Aur Aza se chunti niklane aur agar napasand kiya to bagair toba ke mot ane ki alamat he.

16. kisi ne dekha kisi ke ghar ya shahar se chuntiya bhag rahi he to tabir he us jagah se chor kuch chije utha kar le jayenge– ya dalil he un jagaho per imarate hongi.



17. Bahut sari chuntiyo ko kisi ko zarar bahuchaye bagair shahar me dekhna shahar walo ke jyada hone ki dalil he.

18. khwab me chinti mar dalna kisi jaeef qom ki wajah se gunah ka irt kab karne ki dalil he.

19. Hukmrani ki ahliyat rakhen wala shakhs agar khwab me chunti ki awaz sune to imarat naseeb hone ki dalil he..

20. Badi Chintiya Gajiyo ke liye Qatl hone. Aur marij ke liye mar jane aur safar ka irada rakhne walo ke liye safar me mashkat uthane ki dalil he.

21. Badi Chinti khawab me uske ghar se kisi chij ko utha kar le gaee to dalil he uska baita ya bhai uska mal chori karega.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!