اسلام
khawab me Aqqall dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar apni aqqal ko aadmi ki soorat main dekhe aur kahi ki main teri aqqal hun aur ye bhi jaane ki us ki aqqal hai agar khwab dekhne wala us baat ka ahal hai daleel hai ki us ki badshah ke ladke se sohbat hogi aur us se kher dekhega aur shahjada us ko pasand karega aur maharbani ki nazar se use dekhega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi apni aqqal ko aadmi ki soorat par dekhe daleel hai ki naseeb us ki taraf rukh karega aur izzat aur martaba aur daulat paega.
hazrat daniyat alayehi alsalam ne farmaya hai ki khwab main aqqal bahut daulat hai aur agar apni aqqal ko aadmi ki soorat dekhe aur kahe ki un ka deedar phir karega aur agar mare hue hain daleel hai ki dua aur sadqe us ki taraf se un ko pahuchenge.
hadees shareef main warid hai ki ek shakhs aanhazrat sallallahu alayehi wasallam ki khidmat main haazir hua aur us ne arz kiya ki main ne khwab main dekha hai ki mera maal aur jaan mujh se juda ho gai hain aur donon aadmi ki soorat par hain aur mere ghar main aaye hain aur hum teenon mit gaye hain aur sharbat noshi main mashgool ho gaye hain aanhazrat sallallahu alayehi wasallam ne taaweel main farmaya hai ki aqqal us jahan ki qismat hai aur ruh us jahan ki qismat hai tera kaam bamurad hoga. aur agar dekhe ki aqqal dekhe ki aqqal aur jaan ladai aur shor karte hain daleel hai ki sahibe khwab mulk ke badshah se jhagda karega.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aqqal aur ruh ka dekhna chaarso wajah par hai 1. naseeb aur daulat 2. maa dar baap 3. shahzaad 4. maal aur nemat.