اسلام

khawab main Tabqat E Mubeen


Hasan bin husain al khalaal rahmatullah alayeh ne apni kitaba tabakat al muabreen main taqreebasat hazaar paach sau muabreen ka tajkira kiya hai. jis main saat sau ka tajkira is tarah kiya hai ki chha sau ke sirf naam aur ek sau ke tafseeli haalaat darj kiye hain jinhone fan taabeer main kalaam kiya hai, kitabein likhi ya us fan ke hawaale se shohrat rakhte hai. un ko pandrah tabaqat main taqseem kiya.

pahla tabkqa : hazrat anbiya alayeh alsalam ka hai.; jese hazrat ibraheem alayeh alsalam, hazrat zulqarnain alayeh alsalam aur hazrat muhammad mustafa sallallahu alayehi wasallam.

dusra tabqa : un muabreen ka hai jin nka taalluq hazraat sahaba radiallahu anha se hai un main hazrat abu bakar hazrat umar, hazrat usman, hazrat ali, hazrat abdullah, hazrat abdullah bin salam hazrat abu zar ghaffari, hazrat anas bin maalik, hazrat salman farsi, hazrat huzaifa, hazrat aaisha, hazrat asma rizwaan allah taala anhum ajmaeen khaas taur se qabile zikra hain.

teesra tabka : hazraat taabaieen rahmatullah ka hai jese hazrat saeed bin maseeb, hazrat hazrat hasan basri, hazrat ataa bin abi rabah, hazrat imaam shaihi, hazrat imaam ibn shahab zahri, hazrat ibraheem nakhaie, hazrat umar bin abdul azeez, hazrat qatada, hazrat saeed bin jubair, hazrat taaus, hazrat saabit banani rahmatullah.

chotha tabka : fuqha muabreen ka hai. jese abu sor, imaam awzaaie, sufiyaan suri, imaam shaafaie, imaam qaazi abu yusuf, ibn abi leeli, imaam ahmad bin hanbal, ishaaq bin raahwi, imaam abu yati, mansoor bin muattamar, abdullah bin mubarak rahmahumullah taala.

panchwa tabqa : un muabreen ka jin ka taalluk zahad se hai. jesa muhammad bin wasia tameem daari, shafeeq balkhi, maalik bin deenar, sulemaan al nujumi, rizwaan amaar, muhammad bin samaak, yahi bin maaz, ahmad bin harb.

chhtta tabqa : un muabreen ka hai jin ka taalluq us fan ke musannafeen se hai, jese imaam muhammad bin seereen, ibraheem bin abdul maalik al kirmani, abdullah bin musilm al qaqyihi, abu ahmad khalaf bin ahmad muhammad bin hamaad al raazi al khabaz, hasan bin husain khalaal, aur taasiya daras al yunaani.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!