اسلام

Aag Ka Poojana

Hazarat daniyaal alaih alsalam ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke aag ko sajadah karta hai to us amar ki daleel hai ke zaalim badshaah ko sajadah karega aur uski khidmat me mashgul hoga aur usko us me sabar aur aaram haasil na hoga aur agar dekhe ke chiraag ko sajadah karta hai to daleel hai ke aurato ki khidmat me mashgul hoga aur agar dekhe ke aag ko poojata aur bosa deta hai to daleel hai ke badshaah ka mukhbeer hoga.

Agar dekhe ke aag me khwaar ho kar phir raha hai to daleel hai ke badshaah ki saudagari ki rigbat karega’ lekin natizaa achha na hoga – khaas kar agar aag se jism par takleef pahuche’ aur agar aag se jism ko takleef na pahuche to daleel hai ke salaamati aur jam-it khatir badshaah waqt se dekhega aur agar khwab me aag ke andar chala jaye to daleel hai ke badshaah usi qadar faayeda uthayega.

Agar khwab me dekhe ke aag uske chehare ya kapade ya hath se roshani deti hai – chunanche log uske noor se hairaan ho jaaye to daleel hai ke dushman par fatah aur dono jahaan ko muraad payega.

Hazarat ismaail ash-at rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke aag ko poojata hai to daleel hai ke shaahi baaz-daari karega aur agar aag angaare ki shakal par hai to uski garaz deen maal ka jamaa karna hoga aur maal-e-haraam bahut sa haasil karega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!